Tum poochho ore main na btaon Aesay to halaat nhi . Aik zra sa dil toota hay Ore to koi baat nhi . Kisko khabar thi sanwal.e.badal bin brsay urr jatay hain Sawan aaya lekin apni qismat main brsaat nhi . Toot gia jb dil to phr saanson ka chalna kia maani Goonj rhi hay keun shehnaie jb koi baraat nhi . Meray ghamgeen honay pr ahbaab hain keun heraan QATEEL Jesay main pathar hoon meray seenay main jazbaat nhi
Zawal-E-Shab mein sitaron ne sath chor dia. . . Hawa chali to chiraghon ne sath chor dia. . . Mila jo moka muje un se baat karne ka … Mera naseeb k lafzon ne sath chor dia. . . Wo Ru-baroo tha magar usko dekhte kese ? Wo Rang-O-Noor tha,Ankhon ne sath chor dia
Jab dil udas hota hai, Dard kuch khaas hota hai, Hr soch Hr yad Hr baat Hr pal bara be-aas hota hai, Bas ek awaz c hoti hai, Wo b be-saaz c hoti hai, Na koi apna sa lagta hai, Sab ek sapna sa lagta hai, Yun dil kyo udas hota hai? Kyo dard ye khas hota hai