Wafa ruswa nahi karna
Suno aisa nahi karna
Main pehlay he akela hoon
Mujhe tanha nahi karna
bohat masroof ho jana
To socha nahi karna
Bhrosa bhi zaroori hai
Magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai
Kabhi daawa nahi karna
Jo likha hai wo hona hai
Kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tumse hai
Mujhay aadha nahi karna
Haqiqat ha Milan apna
Isay spna nahi karna
humein tum yaad rahtay ho
Humein bhoola nahi karna
Jab-Jab tanhai ne unko sataya hoga,
tab-tab unko mera khayal aaya hoga,
ghum yeh nahi hai ki woh bhool gaye humko
ghum yeh hai ki Ro-Ro kar Bhulaya hoga.
For me U r as... Chees 4 pizza.. passport 4 visa...
butter 4 bread.. ice 4 freezer.. cream 4 cake...
water 4 lake.. leaf 4 tree..
a FRIEND like u is 4 ever 4 me..!!
Muskurana hi to Khushi nahi hoti,
Umer Bitana hi to zindagi nahi hoti,
Khud ko mitana Parta Hai Dosti mein,
Kyun k Sirf Dost Kehene se Hi Dosti Nahi Hoti..