Dost ek saahil hai tufaano ke liye,
Dost ek aaina hai armaano ke liye,
Dost ek mehfil hai anjaano ke liye,
Dosti ek khawaahish hai aap jaise dost ko paane ke liye
Tujhe chahne wale kum na hongein
waqt kay saath shayad hum na hongien
chahe kisi ko kitna bhi pyar dayna
lakin teri yaadon ke haqdar sirf hum hi hongein
Na intzaar hai na ikraar hai, na aapse milne ko ab mera dil be-kraar hai,
phir bhi dil se na jaane kyon yeh aawaz aati hai, wo tumhi ho jinki aankon aur
baaton mei ek sachchi dosti ka khumar hai.