Tumharay naam likhta hoon...!! Tumhare naam likhta hun, Muhabbat aur khusboo ke, Wafaon ke massarat ke, Dhadakte dil ke wo nagme, Jo insano ki dharti par, Har eek mausam me gaye hain !
Tumhare naam likhta hun, Akhuwat aur ulfat ke, Sadakat aur azmat ke, Wo phoolon jaise afsane, Jo iss duniyan me logon ne, Sune hain aur sunaye hain !
December Kay Mahinay Ka Woh Shaid Akhri Din Tha
Baras Guzray Kayen
Main Nay “Mohabat” Lafz Likha Tha
Kisi Kagaz Kay Tukray Per!
Achanak Yaad Aya Hay
Baras Guzray Kayen
Muj Ko Kisi Say Bat Kerni Thi
Usay Kehna Tha
Jaan-Nay Jaan! “Mujay Tum Say Mohabat Hay”
Magar Main Keh Nahi Paya
Woh Kagaz Ag Tak Lipta Para Hay Dhool Main Lakain
Kisi Ko Day Nahi Paya
Dobara Cha Ker Bhi Main Mohabat Ker Nahi Paya
Pyar ko chod kar tum koi aur baatkaro
Ab mujhe pyar ki har baat se dar lagta hai
Meri khatir na woh badnam kahin ho jaye
Esliye unki har mulaqat se dar lagta hai
I loved her from my heart,
She touched my soul n shake my heart,
I found her mine, but that wasn’t true,
I cried all night but she never dew,
Was it wrong to express my love?
Was it the same reason she left?
Aur kuch nahi chahiye ek muskan hi kafi hai,
dil main bas ek Tamanna hi kafi hai,
Tamanna hai ye ki aap sada kush raho ,
hamen yaad rakhna ye ehsaan hi kafi hai
Aek Lafz ''MOHABBAT'' hay kr k dakho tum tarap na jao to kehna. Aek lafz ''MUQADDAR" hay lar k dakho tum haar najao to kehna. Aek lafz "WAFA" hay zamana ma nh milta dhoond pao to kehna. Aek lafz "ANSU" hay dil ma chupa k dakho tumhari ankh sa nikal ayen to kehna. Aek lafz "JUDAEE" hay seh kr dakho tum toot kr bikhar na jao to kehna.
Mudat k Baad Dekha usay Bdla Hoa Tha Wo Najane Kiya Hadsa Hua Sehma Hua Tha Wo Mujhy Dekh Kar Usne Chehra To Chupa Liya Magar Ankhein Bata Rahi Thi k Roya Howa Tha Wo Uski Ankhon Mein Dekh Kar Mehsos Hua Mujhe Meri Tarha Kisis Soach Mein Doba Hua Tha Wo