Milta tha mujh sai woh kabhi pal pal k farq sai..
Phir rafta rafta farq yeh saalon mai aa gaya...
Phir yoon hua k aankh sai aansu nikal parray...
Chehra kabhi jo us ka khayaalon mai aa gaya !
Uski Yaadon Main Us ki Baaton Main
Kahi''n mera Aks Bhi jhilmilata Ho ga
Laakh Masroof Sahi Apne Kaamo''n Main
Phir bhi Humain Soch Ker Kabhi to Muskurata hoga
Jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye,
Khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye,
Ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki,
Afsaana likhoon aur aapka naam na aay
jaanta hun aap nahi aaoge...fir bhi kyun intezaar karta hun....
jisko nahi parwah meri koi...kyun usi se itna pyaar karta hun....
nahi thaam paata kisi aur ka haath mein....
...jisne raah mein tanha choda...kyun usi pe aitbaar karta hun.....