Muhabbat Khud Bataati Hey
Kahan Kis Ka Thikana Hey
Kisey Aankhon Main Rekhna Hey
Kisey Dilmain Besana Hey
Riha Kerna Hey Kis Ko Or
Kisey Zanjeer Kerna Hey
Mitana Hey Kisey Dil Sey
Kisey Tehreer Kerna Hey
Gheronda Kab Girana Hey
Kahan Taameer Kerna Hey
Isey Maloom Hota Hey Safar Dushwar Kitna Hey
Kisi Ki Chashm E Geriya Main Chupa Iqraar Kitna Hey
Shajar Jo Girney Wala Hey Who Sayaadaar Kitna Hey
Safar Ki Her Saoubat Or Temazat Yaad Rekhti Hey
Jisey Saaary Bhula Daalen
MUHABBAT YAAD REKHTI HEY
kisi ko aankho mein basaa ke dekhaa thha
kisi ko dil mein bitthhaa ke dekhaa thha
ab tak thame nahin hai mere aansoo
bas ek baar muskurake dekhaa thha.
Uski Yaadon Main Us ki Baaton Main
Kahi''n mera Aks Bhi jhilmilata Ho ga
Laakh Masroof Sahi Apne Kaamo''n Main
Phir bhi Humain Soch Ker Kabhi to Muskurata hoga