Miss You SMS Messages440 messages

Who ruthe humse hum manane chale,
Manana nahi aata yeh bhul hi gaye.
Manana humne kabhi sikha hi nahi,
Kya kare humse yu pehle koi rutha he nahi
yadon mein kabhee aap bhi khoyae hongae,
khulee ankon se kabhee aap bhi soyae hongae,
mana hasna hai aadath gum chupanae ki,
par haste-haste kabhee aap bhi royae hongae!!!

dard kafi hai bekudhe ke liye,
maut zaroori hai zindagi ke liye,
kaun marta hai kisi ke liyae
hum to zinda hai sirf aap jaise dosto ke liye!!

faslae mita kar aapas mein pyar rakhnaa
dosti ka yeh ristha humesha yun hi barkaraar rakhna
bichad jaye kabhi aap se hum
anakho mein humesha humara intezaar rakhna!!

ek pathar kafi hai sisha thodnae ke liye
ek baath kafi hai dil thodnae ke liye
aur ek dost kafi hai zindagi jee lene ke liye!!

kuch nasha apki baton ka hai,
kuch nasha dheemi barsat ka hai,
hamne aap yunhi sharabi math kahiyae
yeh dil par asar apkae mulaqat ka hai!!
IS WAQT 38% LAUG SO RAHE HAIN,
22% LAUENJOY KAR RAHE HAIN,
15% LAUG IBAADAT KAR RAHE HAIN,
25% LAUG TIME PAAS KAR RAHE HAIN,
AUR 1 HUM HAIN K TUMHEN YAAD KAR RAHE HAIN.
Kaise intehaan yeh zindagi ne liya hai
Badla kaisa yeh meri aashiqi ne liya hai
Yeh jo range udasi hai, mere aangan main yaaron
Yeh taufa maine yaadon ko chandni se liya hai
Na dur rahne se rishte tut jate hai
Na pass rahne se jud jate hai
Yeh to pyar ke pakke bandhan hai
Isi liye aap hume aur hum aapko
Yaad Aate Hai!
Kuch shikayatein baaki hai dil mein,
Dil tootne ke is haadsat ke baad,
Khabar teri yun aati rehti hai har dum,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...

Charcha hota rehta hai deewano ka yahan,
Har jaan ek jist jaise nazar aati hai,
Baithe baithe koi surat yaad aati hai mujhe,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...

Khamoshi mein aahat gunjti hai kanon mein,
Jaise bula rahi ho dekar mujhe awaz,
Achanak log kyun daudne lagte hai,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...

Naaz hai kyun mujhe apni mohabbat par itna,
Ke yeh dil tujhe chahne ki zid par hai,
Khwaab har pal toote nazar aate hai,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...
Yeh pattaron ka shehar hai, her cheez bejuba.n
Kaun sun sakega fariyaad teri yahan?

Honton ko see le apne, aur aansoo ko pee le yaara
In cheezon ke nahi yahan per koyi kadar daan..!!
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
jism hun mein per
mujhmein koi jaan nahi

dil to hai paas per
ab ismein koi armaan nahi

chin gayi jo khushiyaan
to rahi koi iccha baki nahi

chala gaya jo ik baar
phir wo lauta wapis nahi

cha gaya jo uska khumaar
chahat bhi ab koi baki nahi

kho diya jo pyar ik baar
mila wo phir dubara nahi

kaash! mil jata wo mujhe
to usay jane kabhi deti nahi

jism hun mein per
mujhmein koi jaan nahi
Jaane Kya Hai Dil Ke Andar Jo Chupke Say Toot Raha Hai
Ek Meherbaan Ka Haath Jaise Haathon Say Choot Raha Hai

Lamha Lamha Guzar Ke Dafan Ho Raha Hai Seene Mein
Seh Kar Ye Dard Kuch Ajab Maza Aane Laga Hai Jeene Mein

Jaane Ye Kis Rehguzar Pe Qadam Humne Barhaaye Hain
Jaana Tha Kis Manzil Par, Jaane Kis Aor Nikal Hum Aaye Hain

Ek Khalish Hai Dil Ko Ghairey, Ek Ajab Si Khaamoshi Chaayi Hai
In Chubhti Tanhaaiyon Mein Aaj Yaad Teri Bohat Aayi Hai !!
Ye ulfat - Ye uljhan - Ye kasmkas - Ye diwangi
Jane kyo isi me simat jati hai ek aasiq ki jindgi

Na sukh se ji pate hau- Na chein se mar pate hai
Bhatkate hai yaha waha karte huye apne yaar ki bandgi

Kabhi wafa ki khusiya - Kabhi bewafai ke badal barste hai
Par har dil me chahat ek- Foolo si mahke mere pyar ki jindgi

Har pal mahakna- Sawarna Pal - Pal aahen bharna
Kabhi chand se - Kabhi gulaab se apne yaar ki tulna karna

Kbhi chot khaakar bhi na sambhalna
Khi jaane anjaane me pagal sa bhatkna

Aakhir bachta hai bus pagalpan - Jhalkati hai viraniya
Or har aasiq ke paas bachti hai ,,,,,,,,,,sirf yaden,,
Log kanto se bach ke chalet hai..

Humne to phoolo se zakham khaye hai..

Tum gairo kee baat karte ho..

Humne to apne bhee aazmaye hai..



U to khwab aksar hee toot jate hai mere..

Phir bhee kuch toote khwab apne liye bachaye hai..

Wo gairo se kuch nahi chupa pate..

Humne apni aankho se bhee aansu chupaye hai..