chooma SMS Messages5 messages

Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Tu Bade Payar Say Chao Say Bade Maan K Saath

Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi Say Furqat K Khizan Lamho Mein

Tu Kisi Soch Mei Doobi Jo Ghumaati Mujh Ko
Mein Tere Hath Ki Khushboo Say Mehak Jata

Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhay chooma Karti
Tere Honton Ki Hidat Say Dahak Sa Jaata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Kay Safar Pay Jaati
Mar Mareein Haath Ka Takiya Banaya Karti

Mein Tere Kaan Say Lag Kar Kayi Baatein Karta
Teri Zulfon Tere Gaal Ko chooma Karta

Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Mein Teri Rooh K Gulshan Mein Mehak Ta Rehta

Mein Tere Jism K Aangan Mein Khanakta Rehta
Kuch Nahi To Ye Bay Naam Sa Bandhan Hota

Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Woh Aksar Mujhse Kehta Hai K,

Tum Be-hadd Shor Machati Ho,

Jab Pyaar Se Mujhe Bulao Gey,

Tab Dorr K Mein To Aaon Gi

Tab Paayal Meri Chankay Gi,

Paayal Ka Shoor To Ho Ga Hee!

Jab Meri Kalaai Pakro Gey,

Tab Choori Meri Khankay Gi,

Jab Choori Meri Khankay Gi,

Choori Ka Shoor To Ho Ga Hee!

Jab Aankh Teri Dumkay Gi,

Jab Jazbay Shoor Machein Gey,

Jazboon Ka Shoor To Ho Ga Gee!

Mere Jhumkay Se Jab Tum Kheelo Gey,

Wo Gaal Ko Meri choomain Gey,

Bey Chain Se Tum Ho Jaoo Gey

Ik Lehar Uthay Gi Seenay Mein!

Us Lehar Ka Shoor To Ho Ga Hee!

Wo Aksar Mujhse Kehta Hai

Tum Bey Hadd Shoor Machati Ho!
us nay meray seenay per sir rekh ker poocha
jana! apnay jeevan ka wo lamha tu batlao muj ko
jis k badlay mil saktay hain sabhi sitaray
daryaon k saray moti
sawan ki pehli barish k saray qatray
ujlay chand ki sari kirnain
dharti k seenay sa liptay sabhi khazanay
saray mousam sabhi duayen
phoolon ki rangeen qabayen
patti patti pernay wali bheeni shabnam
ism-e-azam
us nay meray seenay pe sir rekh k poocha
jana! apnay jeevan ka wo lamha tu batlao muj ko
jis k badlay sub kuch apna,sub kuch,sub kuch
apna sub kuch day saktay ho
ma nay us ka maatha chooma or bola jub
pehli bar meray seenay pa tum nay apna sir rakha tha
Bichra hai Jo aik baar Tu milte nahi daikha
iss zakhm ko hum nai kabi Silte nahi daikha

ik baar jise chaat gaye dhoop ki khwahish
Phir Shaakh pe iss phool ko khilte nahi daikha

aik paid Gira hai Tu Jarain tak nikal aayein
Jiss paid ko aandhi main b hilte nahi daikha

Kantoon main giray phool ko choomay Ge Laiken
Titli k paron ko kabi Chiltay nahi daikha

Kiss Tarah mere Rooh harri kar gaya aakhir “N“
woh Zehar jisse jism main khulte nahi daikha..
Tum Bohot Yaad Aaye Jub Chand Ne
Chandni Se Sargoshiyaan Ki
Jub Phoolon Ne Shabnam Ko chooma
Jub Samandar Ne Lehron Ko Baanhon Main Sameta
Jub Suraj Ne Kirno Ko Chaha
Jub Aankhon Ne Kuch Adhoore Khawab Sajaaye
To Mujhe Tum Bohot Yaad Aaye