aankhain SMS Messages62 messages

suno logon
meri aankhain kharido gey??
mujhey ek khuwab ka tawaan bharna hai
ek esa khuwab tha jo jaagti aankhon ne dekha tha
magar dekhey huwey us khuwab ki tabeer ulti thi
nahi shikwa kisi se,apni he taqdeer ulti hai
jo ab tak ho chuka hai mujhko wo nuqsan bharna hai
ab aankhain bech ker he,
khuwab ka tawaan bharna hai
SUNO LOGON
meri aankhain kharido gey??
Kyun yaad tum itna aate ho…?
Kyun hum ko tum tarpaate ho…?
Gum sum gum sum hain aaj sahar se hum…
Kyun itna hamain sataate ho…?
Aadi hogaye hain us sitam ke hum…
Jo aadatan humpe dhaate ho.
Tumhain khayaalon se gar nikaal bhi dain…
To khwaabon main aa jaate ho.
Hum lab se nahin karte izhaar-e-mohabb at…
Tum aankhain hii nahin parh paate ho………..
mera bus chale to aapki yaadein khareed loon


apne jeene ke waaste aapki baatein khareed loon


ker sakein ko her waqt deedaar aapka


sub kuch luuta ker wo aankhain khareed loon
mera bus chale to aapki yaadein khareed loon


apne jeene ke waaste aapki baatein khareed loon


ker sakein ko her waqt deedaar aapka


sub kuch luuta ker wo aankhain khareed loon
aisay he nahi roz falak daikhta tujh ko
chehra hai tera chand, sitaray teri ankhain
Koun Si Cheez Dil Ke Bas Mein Nahi
Dil Magar Apni Dastaras Mein Nahi
Kab Se aankhain Talaash Karti Hain
Ek Din Jo Kisi Baras Mein Nahi
"Na wajood apna, na rooh apni
Bas ik tamasha yeh zeest thehri
Na dil lagi main sakoon paya
Na aashqi main qarar paya
Na wasl lamhay hi raas aaye
Na firaaq hi ghum guzaar paaye
Ajab yeh chahat k marhalay hain
Na jeet paaye na haar paaye
Na hi yaadon ki dhund utri
Na dil k daaman ko jhaar paaye
Na aankhain khawabon ko dhoond paaien,
Na khawab aankhon ko dhoond paay'"
Rukhsaar ka Pata nahi, aankhain to khub hain.......
Didaar abhi naqab se aagay brha nahi
Dedicated to all Girls

"LARKIYAN"

Kabhi Maum Ban K Pighal Jati Hain
...Kabhi Suraj Ki Tapish Se Jal Jati Hain

Yeh Larkiyan Kitni Ajeeb Hoti Hain
Sambhal Kay Chalain Phir Bhi Phisal Jati Hain

ALLAH Ne Rakhi Un Main Aisi Mehek
Jis Sanchay Main Chaho Dhal Jati Hain

Kabhi Zara Si Baat Par Kar Laiti Hain aankhain Namm
Tu Kabhi Pahaar Se Ghum Par Bhi Sambhal Jati Hain

Itni Sada Kay Apni Hi Bewaqti Par
Sabar Ka Thaam Kar Daman Behel Jati Hain
Woh
Bade faqr se kahti hai
Yeh khoobsurat nasheman
yeh cars ki fleet
Yeh malbusaat ki chamak damak (Kapde)
Meri apni kawish hai
Zindagi ki
Saree ra’naiyaan
Yeh aasaish
Kisi ki marhoone minnat nahin
Zindagi main koi ehsaan ka
Lamha nahin
Main khud main bilkul mukammal hun
Oonchi kursi per baith ker
Na jane kitni zindagiyoon ko
Sawarti aur bigaadti hun
Lekin
Is ke Bawajood
Aik Mazboot
Aur Mustahkam
Saahare ki justujoo main
Uski aankhain neend ko
Tarasti hain!
Aazan DainGi Tumhari aankhain
Tumhaare Misray Adaa Karain Gi
Tum Aisa Karna K Rah-e-Haqq Main
Hussain Parh kar Hussain liknna

Wo Barchiyan Wo Chamaktay KhanJar
wo TapTay Sehraa Pukaartay hain
Tum Aisa Karna K KarBalaa ke
Badan Pe Ja Kar Hussain liknna

Agar Kitaabat Ka Shauq Ho to
Kitaab-e-Sabar-0-Razaa Main Rahat
Jahan Shaheedo''n Ka Naam Likhna
tou Sab se Opar Hussain liknna. . .
Kisi nazuk se lamhay main..

Kisi din shaam se pehle...

Agar main chupke se tere kaanon main yeh keh doon...

Ke mujhe tumse mohabbat hai...

To tum naraz mat hona...

Faqat itna tum karna...

Mujhe baahon main le ke tum...

Meri aankhon main aankhain dal kar...

Mere baalon ko sehla kar...

Bas itna keh dena...



TUM PYAR ke laayaq nahin...