Marney ka SMS Messages2 messages


Na who farishta ho na farishtey jaisa ho
Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho

Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho

Meri khatir Marney ka hosla bhi rkhta ho
Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to

Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey

Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho

Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho

Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho

Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho
kya toota kya bikhar gaya ye mein janta hoon
andhiyoon mein chiraag jalaney ki saza mein janta hoon

janey wo kon log the jin ko mila sila mohabtoon ka
zakham_e_mohabat ki tarap ka maza mein janta hoon

door se dekho iss ko pass jaogey toh pachtaogey
zindagi ke chehrey pe hai kya likha mein janta hoon

un ke koochey se uthey jo mera janaza toh kya baat hai
un ki bahoon mein Marney ka maza mein janta hoon

kyun bewaja mujhe zindagi se milatey ho yaro
zindagi aur maut ke beech ka khala mein janta hoon

wo khafa se hein ye be janta hoon mein
un ki narazgi mein be hai ik ada mein janta hoon !!