AANAA SMS Messages13 messages

Aye mavia mardood tu naakaam hogaya
Duniya main zikre Aal-e-Nabi aam hogaya
Meray Hussain per hain Durodon ki barishain
lAANAAat teray yazeed ka anjaam hogaya
Apne honton per sajana chahta hon
Aa tujhey main gungunana chahta hon

Koi ansoo tere daman per gira ker
Boond ko moty banana chahta hon

Thuk gaya main kerte kerte yad tujhko
Ab tujhey main yad AANAA chahta hon

akhri hichki tere zaano pe aaye
maut bhi main sha''erana chahta hon

Rah gayi kuch kami ruswaiyon main
Phr QATEEL us durr pe jana chahta hon
Woh kahkahoN ki Masti
KahaN gayee who hasti?
Woh khwaaboN pay jaadu karna
Aur yaqeeN main badalanaa
SabaaN say sur milanaa
Tau kabhi taaroN say gungunanaa

Jab hosh nay aaNk kholi
Afqaar say ki macholi
Ab tu bhi udaas kyuoN hai
Tanhai ka paas kyuoN hai

MAANAA shub nay ziNdgi pay teri
Lagaai lambi pheri
Magar raushni kay who daany
Jiskay tujh main haiN khzaanay
Bo day is kaali raat kay seenay par
kis ko qaatil main kahunn kis ko masiihaa samajhoon
sab yahaan dost hii baithe hain kise kyaa samajhoon

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhoon

dil jo tootaa to kaii haath duaa ko uthe
aise maahaul main ab kis ko paraayaa samajhoon

zulm yeh hai kay hai yaqtaa terii begAANAAravii
lutf ye hai kay main ab tak tujhe apanaa samajhoon..
Suno jAANAA''n!
Suno jAANAA''n!
Yun tanha ab akailay..
Raat bhar jaaga nahin jata.
K tanha bojh chahat ka...
Tou ab uthta nahin mujh say,
Suno!
Kia aisa ho nahin sakta...
K...........
Aadhi raat ko..
Kuch dair sahi....
Tum agar jago?
Ye chahat ka hasee''n aik bojh,
Aadha hi sahi....
Tum baant lo mujh say,
Phir aadha dard tum lay lo...
Phir aadhay khwaab tum daikho..
Ye dil ki beqarary...
Mujh say aadhi baant lo tum bhi,
Tou ab tum hi kaho jaanan!!!
Phir iss baar-e- muhabbat ko...
Tum aadha baant lo gay naa?????
dil ke dariyaa ko kisii roz utar jAANAA hai
itanaa besimt na chal lauT ke ghar jAANAA hai

us tak aatii hai to har chiiz Thahar jaatii hai
jaise pAANAA hii use asl me.n mar jAANAA hai

bol ai shaam-e-safar rang-e-rihaa_ii kyaa hai
dil ko rukanaa hai ki taaro.n me.n Thahar jAANAA hai

kaun ubharate hue mahataab kaa rastaa roke
us ko har taur suu-e-dasht-e-sahar jAANAA hai

mai.n khilaa huu.N to isii Khaak me.n milanaa hai mujhe
vo to Khushbuu hai use agale nagar jAANAA hai

vo tere husn kaa jaaduu ho ke meraa Gam-e-dil
har musaafir ko isii ghaaT utar jAANAA hai
mariiz-e-muhabbat unhiin kaa fasAANAA
sunaataa rahaa dam nikalate nikalate

magar zikr-e-shaam-e-alam jab bhii aayaa
chiraaG-e-sahar bujh gayaa jalate jalate
duniyaa se dil lagaakar duniyaa se kyaa milegaa
yaad-e-Khudaa kiye jaa tujh ko Khudaa milegaa


daulat ho yaa hukuumat taaqat ho yaa javaanii
har chiiz mitane vaalii har chiiz aanii-jaanii

yeh sab Guruur ik din mittii mein jaa milegaa
aataa nahii.n palaTakar guzaraa huaa zamAANAA

kiyaa Khwaab kaa bharosaa kiyaa maut kaa thikAANAA
ye zindagii ganvaa kar kiyaa faayedaa milegaa
kyuN mahkeN gulaab aaNkhoN meN
ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN

dekho ham ek savaal karte haiN
likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN

us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
jhaaNkiye mat janaab aaNkhoN meN

kabhii aaNkheN kitaab meN gum haiN
kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN

ko’ii rahtaa thaa raat din “Alvi”
inhii KhAANAA-Kharaab aaNkhoN meN
AANAA Passand Kabhi Muhabbat nahin Kartay..!!

Muhabbat Un ka Shewa Hai Jo Khud ko "Maar" Detay hain..!!
bechain main na jaane kya chahti hoon

bechain main na jaane kya chahti hoon
shaayad apne dil ki gahraayee pAANAA chahti hoon
lekin sab ke liye anjaan main
aaj jaan payee hoon
ki main khud se bhi anjaan hoon
isiliye
apne dil ki kasak ko mitana chahti hoon
apni bechain saanson ko sametna chahti hoon
lekin kaise shaayad yahi janna chahti hoon
Man 2 pathan: Khan ji kal mainy apko phone kia par aap ny uthaya nahi?

Pathan:
Kyun uthata..,
Ye jo meiny 30 Rupye dekar GAANAA Lgwaya hai wo tera BAAP sunega.