taa-umr
yu hi hum jehmat uthate hain
chand akshar gungunate hain
ve batate hain raah duniya ko
apni galiyon ko bhul jaate hain
lete parwaaz ab nahi naayir
sirf parr apne fadfadate hain
paanv apne hi uth nahi paate
vo humhe har lamha bulate hain
aap kehte hain likha kya humne
aur hum hain ki muskurate hain
jinko dariya dubo nahi paaya
ek chullu bhar mein dhoob jaate hain
uske hothon ki maye kabhi pi thi
umr guzri hai ladkhadate hain
ek
tasveer ka sahara le
apni tanhayiaan bitate hain