Kabhi Arsh Per

Kabhi Arsh Per
Kabhi Arsh Per Kabhi Farsh
Kabhi Un K Dar Kabhi Darbadar
Gham-E-Aashiqi Tera Shukriya
Main Kahan Kahan Se Guzar Gye
  

Feb, 10 2015     115 chars (1 sms)     9365 views       Sad

more Sad SMS Messages

Us Ajnabi Ka Youn Na Intezaar Karo,

Is Aashiq Dil Ka Na Aitbar Karo,

Roz Nikla Karen Kisi Ke Yaad Mein Aansoo,

Itna Kabhi Na Kisi Se Pyaar Kia Karo,
Tamaam din khud ko “SAMAITTAY” huway guzer jata hai
“Dost ”
Shaam ko us ki “YADAIN” mujhy phir tor diti hain..!!!
Bulaoon ga na miloon ga na khat likhoon ga tujhe,
Teri khushi kay lia khud ko ya saza dun ga ..
Lot aaye...


Usey kehna December aa gaya hai..
December k guzartay hi..
Baras ek aur mazi ki ghupa mein doob jaaye ga..
Usey kehna December laut aaye ga..
Magar jo khoon so jaayega jismon mein na jaaye ga..
Usey kehna hawayen sard hain..
Aur zindagi k kohray deewaroN main larzaan hain..
Usey kehna shagoofay tehniyon mein so rahay hain..
Aur un par barf ki chadar bichi hai..
Usey kehna agar sooraj na niklay ga..
To kaisay barf pighlay gi...
Usey kehna..
KI...
Lot Aaye...!
Jinko Sooraj Meri Chokhat Se Mila Tha Yaaro,

Ab Woh Khairaat Mein Dete Hain Ujaalay Mujhko. . .*
her saal jaunary,
humain kuch sapnay dikhati hai,
jis ko poora kernay main,
december aa pohanchta hai,
zindagi aur akheer bi mano,
umer kay january aur december hain,
zindagi ki january bi jo khwab dikhati hai,
admi umer ber un ko poora kerta rehta hai,
aur umer ka december aan pohanchta hai,
aur saal ki terha,
saans bi khutum ho jati hai...
Ab To Aankhon Me Sameti Nhi jati Koi Surat MOHSIN
KAASH Me Ne Usay Ghour Se Na Dekha Hota
Khaas they kabhi nazroon mein kisi k hum bhi shayad,
Magar nazron k taqazay badalney mein dair kahan lagti hai
Mumkin hai tery baad bhi aati hon gi baharen Mohsin
Gulshan main tery baad kabhi ja kr nahi dekha
Tera dard tha, teri yad thi,
Main jahan raha,
Main jidhar gya,
Mera din too yunhi guzar gya,
Hui shaam too main bikhar gya, Is abr ka mere yaar se......
Bara milta julta mizaj hai,
Kabi toot kr baras gya, kabi berukhi se guzar gya,
Jab main chhor jaunga wo gali,
Use yaad aye gi tub meri,
Khoje ga jab wo idhar udhar,
To khabar mile gi main mar gia.....!
Use bhul kar jiya to kya jiya,
Dam hai to use Pakar Dikha,
Likh Patthro par apne Prem ki kahani,
Aur sagar ko bol- Dam hai to ise mita
kar dikha.
Ghum Bade Aate Hai Qaatil Ki Nigahon Ki Tarah,
Tum Chhipa Lo Mujhe Aye Dost Gunahon Ki Tarah,

Apni Nazron Mein Gunehgaar Na Hote, Kyon Kar
Dil Hi Dushman Hai Mujrimon Ke Gawahon Ki Tarah,

Har Taraf Zeest Ki Raahon Mein Kadi Dhoop Hai Dost,
Bas Teri Yaad Ke Saaye Hai Panahon Ki Tarah,

Jinki Khatir Kabhi Ilzaam Uthaye,
Wo Bhi Pesh Aye Hai Insaaf Ke Shaahon Ki Tarah...