Wafa ruswa nahi karna
Suno aisa nahi karna
Main pehlay he akela hoon
Mujhe tanha nahi karna
bohat masroof ho jana
To socha nahi karna
Bhrosa bhi zaroori hai
Magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai
Kabhi daawa nahi karna
Jo likha hai wo hona hai
Kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tumse hai
Mujhay aadha nahi karna
Haqiqat ha Milan apna
Isay spna nahi karna
humein tum yaad rahtay ho
Humein bhoola nahi karna
Teri taswer dekh kar main rota hoon ,
Ban kay rah gaya main ek samjota hoon
To kahan kala kawwa thera or mujay dekh
Ek masoom sa khubsoorat pyara sa tota hoon
Na intzaar hai na ikraar hai, na aapse milne ko ab mera dil be-kraar hai,
phir bhi dil se na jaane kyon yeh aawaz aati hai, wo tumhi ho jinki aankon aur
baaton mei ek sachchi dosti ka khumar hai.
Kon kehta hai k hum ap se gila krte hain
Jese milty hain wese mila krty hain
Hamari badnasibi pay mat jao ae mehboob
Kyu k phool aksar kanto pay khila krty hain