Rab ne "Maa" ko ye azmat-e-kamaal di,
Uski dua pe aayi musibat taal di,
Quran ne "Maa" k pyar ki is tarah
misaal di,
k
Jannat utha k "Maa" k qadmon me daal di..
Unki mohabbat ka abhi nishan baki hai,
Naam labo par hai aur jaan baki hai,
Kya hua agar dekh kar muh pher lete hai,
Tassali hai ki shakl ki pehchan baki hai.