Poetry

Poetry
Abhii Iss Taraf Na Nigaah Kar Main Ghazal KiiPalke'n San'vaar Luu
Meraa Lafz Lafz Ho Aaina Tujhe Aaine Mein Utaar Luu

Main Tamaam Din Ka Thakaa Hua Tu Tamaam Shab Kaa Jagaa Hua
Zaraa Thahar Jaa Isii Mor Par Tere Saath Shaam Guzaar Luu

Agar Aasamaa'n Kii Numaisho'n Me.N Mujhe Bhii Izn-E-Qayaam Ho
To Main Motiyo'n Kii Dukaan Se Terii Baaliyaa'n Tere Haar Luu

Kaii Ajanabi Teri Raa'h Ke Mere Paas Se Yuun Guzar Gaye
Jinhe'n Dekh Kar Ye Tarap Hui Tera Naam Leke Pukaar Luu
  

Sep, 17 2011     490 chars (4 sms)     4391 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Pani se tasvir kaha banti he,

khwabo se takdir kaha banti he,

kisi ko chaho to sacche dilse,

kyunki ye zindgi phir kaha milti he.
Her jaanib samundar hai
Kinaara kiyun nahi milta..
Mere Maula bataa
Mujhko sahaara kiyun
nahi milta..
Mujhe is shehar mein din bhar
Hazaaron log milte hein..
Jissay mein doondnay nikla
hoon woh pyaara kiyun
Nahi milta..
Jissay Chaha, Jissay Pooja,
Jissay Socha, Jissay Likha,..
Mere Maula mera us se
Sitaara kiyun nahi milta..
Bohat hi door hai manzil Bhatakna
hai kab Talak,
Yah Rab..
Kissi ki Ankhon ka mujhko
Ishara Kiyun Nahi Milta...
sirf ek bar apne honton se mujhe apna keh do

mohsin

phir mehfil me raqeebon ka tamasha dekho..
Agar woh rooth jaati hai,
to hamaari jaan nikalti hai

ye saansen jaari rakhne ko
hum uski maan lete hain
kash k ab k bars wo ye keh dy...

aao k mein tanha hon,teri trha,tery liye....
Apni haar main kitna sakoon tha ''faraz''

us Shakhs ne jb Galy Lagaya Jeetnay k Baad.
Aisa Duuba Hoon Teri
Yaad K Samandar Main

Dil Ka Dharakna Bhi Ab
Tere Qadmo''n Ki Sada Lgti Hy !!!
hon ajeeb kashmash may hove zindagi paraye,
mary pass tari yadian tary pas bywafayi.
hum ko maloom hai tu nafrat nahi hai sitron se.

per yeh maloom nhai un k tootne ki dua kauon krti ho.
wafa ishk ki mohtaaj nahi hoti,
har gham k peeche judaai ki baaraat nahi hoti,
yaha hoth nahi nam aankho me mohabbat ka afsaana hai,
jo kahi jaa sake wahi hap dam baat nahi hoti........
Wo Jo Poochta Hy Ye
Bar Bar ?

Kia Hy Zindagi Aur
Maut Kia ?

Aa Tjhy Btao''n
Me Is Trha

Tera Mera Jo Hy Ye
Rabta

Tujhy Pa Lia Tou Hy Zindgi

Tjhy Kho Di Tou Ye Maut Hy
Yoon bhi ham door rehtay thay..
Yoon bhi dilon mein ik kadoorat thi..

Tum nay rasman bhula diya warna..
Is takkaluf ki kya zarurat thi...