Talaash karo koi tumhe mil jayega !
Magar hamari tarah , tumhe kaun chahega !!
Jaroor koi chahat ki nazar se tujhe dekhega !
Magar Aankhein hamari kahan se laayega .... !!
kiya zaruri hay kay mein nay jisay chaha tha kabhi
agli duniya bhi meray piyar ko us ka paye
kiya zruri hay jo dharka na kabhi meray liye
agli rut mein bhi mera dil usay pathar paye
Chehare Pe Mere Zulf Ko Phailaao Kisii Din
Kyaa Roz Garajate Ho Baras Jaao Kisii Din
Khushbuu Kii Tarah Guzaro Mere Dil Kii Galii Se
Phuulon Kii Tarah Mujh Pe Bikhar Jaao Kisii Din