Dil ki Awaz se nagme badal Jate hai, sath na De to apne Badal Jate hai, palke
bhi jara sambhal ke jhapkna kyoki Palke Jhapkne se Aksar sapne Badal Jate hai.
Socha yad na karke thoda tadpaye unko,
kisi aur ka naam lekar jlaye unko.
Par koi chot unko lagi to dard hame hoga,
ab koi ye bataye k kis tarah satayein unko.
Ishq Ne Insan Ko Kya Se Kya Bana Diya ,
Kisiko Kavi To Kisiko Kangal Bana Diya,
Do Fulo Ka Boj Na Uthane Vaali Mumtaj
Ki Yaad Main Shahjaha Ne Taaj Mahel Bana Diya