khwab bankar aapke sapno me aayenge
khayal bankar yaado se guzar jayenge
palko ko band karke dil se yaad karna
tasveer bankar apki aankho me utar jayenge
Khamosh muhabbat ka ehsaas hai wo,
mere khwahish mere jajbat hai wo,
aksar ye khyal kyu aata hai dil mai,
meri pahli khoj or aakhiri talash hai wo.
[email protected]
Faasle mita kar aapas mein pyar rakhna,
pyar ka rishta yu hi barkaraar rakhana,
bichar jae kabhi aap se hum,
to ankho mein hamesha hamara intezaar rakhna..