Door ho gaye par bhulaya nahi hai..
Ehsaash tere hone ka abhi dil se mitaya nahi hai..
Jis din se gaye ho mujhe tanha kar ke..
Teri kasam .. maine theek se muskuraya nahi hai..
Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,
Samne aate hi nazar jhukate hai woh,
Baat karte nahi, ya hoti nahi,
Par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh.
Manzelin bhi us ki thi,
Rasta bhi us ka tha,
ek main ekala tha,
kafla bhi us ka tha,
saath saath chalnay ki soch bhi us ki thi,
phir rasta badalnay ka faisla bhi us ka tha,
aaj kyoun ekala hoon dil sawal karta hai,
log tou us ke thay kia khuda bhi us ka tha.