Yaad mein teri aahe bharta hai koi,
har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai,
lekin teri judaai mein har roz marta hai koi....!
Meri muhabbat mein ik yeh mojza bhi ho raha hai
Jisay mein chah raha hoon wo mujh say juda ho raha hai
Ussay lakh bhulana chah raha hoon bazahir tu mein
Par wohi meri duaon mein sar-e-harf-e-dua ho raha hai
Kya ussay ab zaroorat nahi meri diwangi ki
Kyou aisa ehsaas mujhay k wo be-wafa ho raha hai
Jab Kabhi Dil Ko Wo Yadon Se Rehai De Ga
Mere Ander Koi Toofan Sunai Dega
Uss Se Milte Hee Yeh Ehsas Hua Tha Mujhko
Ye Wohi Shaks Hai Jo Lambi Judai De Ga
gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........