Tum meri soch ho

Tum meri soch ho
Tum meri soch ho koi or tmhe soche Q
tum meri chahat ho koi or tmhe chahe Q
tum meri nazar ka aaina ho koi or tmhe dekhe Q
tum meri dua ho koi or tmhe mange Q,
  

Jun, 07 2010     163 chars (2 sms)     10236 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Band sheeshon k parey daikh,dareechon k udher…

Sabz pairon pe,ghani shaakhon pe,pholon pe wahan…

Kaise chup chaap barasta hai musalsal paani…….!

Kitni awaazain hain,log hain,baatain hain magar……

Zehan k peechey kisi aur hi satah pe kahin……..!!!!!!

Jaise chup chaap barasta hai tasavvur tera…………..!
Muhabbat “DEAL“ Se Maawara Rishta Sahi
Phir Bhi
Chalo Ek DEAL Kertay Hain
Yeh Saraa Aasman Lay Lo
Mujhe Bus Woh Sitara Day Do
Tumharay Naam Se Jo Aasman Per Jhilmilata Hai
Mujhay Inn Guftugu Kerti Hui Aankhon Se Kiya Lena?
Mujhay Woh Un-Kahi Day Do
Jisay Sun“nay Ki Hasrat Main Hawa Tham Thum Ke Chalti Hai
Tumharay Reshmi Malboos Main Perti Hui Silwat
Tumharay Qurb Ki Dheemi Sulagti Aanch Si Garmi
Tumharay Paon Ki Aahat
Jo Tappti Dopaher Ko Sham Main Tabdeel Kerti Hai
Tumharay Paas Say Uth“ti Hui Khushbo
Mujhay Inn Sab Se Kiya Lena?
Magar Inn Sab Ke Badlay Main
Mujhay Iss Be-yaqeeni Se Rehaee Day Do
To Acha Hai
Hawaa Ke Doosh Per Rakhay Diyay Jaisay
Meray Bujhtay Huay Dil Ko
kaha tak raqs karna haiiiii
kon kheta hai k dour hain hum
woh bhe tou wahi aasma dekhti hogi
jo main dekhta hoon
woh bhi tou wohi suraj dekhti hogi jo main dekhta hoon
farq hay tou hay bus itna
farq hay tou hai bus itna
woh wahan chand dekhti hay
aur main chand me uski surat dekhta hun
mehsoos ker raha hon main jeene ki talkhyaan.
shayad mujhe kisi se mhubat nahi rahi....!
Meri manzil ka sfr es lye khatarnaak tha.

k mera humsfr bhut haseen tha.
Yaadon ki parchayee mein ab to aaye tera hi cehra
Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera
Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine
Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera
dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun

vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun

ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us shaKhs ko bhulaa_e kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun
ae barish tujhy aaj kis ne rula daya hai.

barasti hi ja rahi hai mere shahr main.
Aaj Tu Yeh Naqaab Hata De,
Apna Pyara Sa Chehra Mujhe Dikha De,
Aaj Tu Haya Ke Sabhi Parde Gira De,
Aaj Tu Mujhe Apni Sanson Mein Basa De.
Saylaab dekhta hoon to
aAta hai yeh khayaal.
.
.
Paani bhatak raha hai,
Talash e Hussain mein...
Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete
Har Ik Ne Dokha Diya Kis Kis Ko Saza Dete
Ye Hamara Zarf Tha Ke Khamosh Rahe Warna
Daastan Sunatey To Mehfil Ko Rula Dete
manzilain sab ka muqadar hon yeh zaroori to nahin
kho bhi jaatay hain nayi raahon par chalnay walay...!!!