Geely kagaz ki tarha

Geely kagaz ki tarha
Geely kagaz ki tarha zindagi hy apni,

koi likhta b nahi koi jalata bi nahi,

is qadar akeley hain ab hum bhi,

k koi satata bhi nahi koi manata bhi nahi.
  

Jun, 07 2010     161 chars (2 sms)     2265 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mujhe sAta k wo mEri Dawain laita hay,

Use khabAr hAy k mujhAy bAdwa Nhi Aati,

sub kuch sonp dia usAy humne,

phir B kehtA hAy wo humAin wAfa Nhi Aati
iss haqeekat ko na honay dena logon py ayaan mohsin,,

k teri chahato''''n sy chalti hain meri saansain...
mohabbat aizaaz ki terha wasool ki jati hai.
khairaat ki terha jhuk kr uthai nahin jati...
Dil Main Har Raaz Daba Kar Rakhte Hain
Hontoon Per Muskurahat Saja Kar Rakhte Hain
Yeh Duniya Sirf Khushi Mein Saath Deete Hai
Iss Liye Hum Apne Aansoon Ko Chupa Kar Rakhte Hain
Ankhon se dur ho par dil se nahi,
Dil me zarur ho par milte nahi,

bus yehi gila hai tumse dost,
tum milte zarur ho par dil se nahi..
Suna hai asar hota hai baaton me,

tum bhi bhul jaoge do char mulaqato me.

humse ruth kar jaoge kahan,

tumhari dosti ki lakir hai in hathon me.
kon kehta hy k aadmi apni kismat khud likhta hy...


agar yeh sach hy tu kismat mein dard kon likta hy...?
sham-e-gham jab bikhr gai ho gi!

jany kis,kis k ghar gai ho gi.

dair tak wo khafa raha mujh se!

door tak ye khabr gai ho gi.

jis traf wo safar pe nikla tha!

sari rounaq udhr gai ho gi.

ya taluq na nibha saka us se,

ya tabiyat hi bhurr gai ho gi.

teri pal bhur ki dil lagi mohsin!

us ko barbad kr gai ho gi....!
Yun hum ko sataane ki zaroorat kya thi,
Dil mera jalaane ki zaroorat kya thi.

Jo nahi tha ishq to keh diya hota,
Dil toor ke jaane ki zaroorat kya thi.

Maloom tha gar yeh khuwaab toot jayenge,
Neend mein aa kar uthaane ki zaroorat kya thi.

Ishq par lagti rahegi har daur mein paabandi,
Ashiq ko majboor banaane ki zaroorat kya thi.

Maan loo gar yeh yak tarfa mohabbat thi,
Mujh ko dekh kar muskuraane ki zaroorat kya thi
Koi deewana kehta hai koi pagal samjta hai..
Magar dharti ki becheeni ko bus badal samjta hai..
Main tuj say duur kesa hoon tu muj say duur kesi hai...
Yeh tera dil samjta hai ya mera dil samjta hai..
Mohabbat ek ehsason ki pawand si kahani hai..
Kabe KABIRA deewana tha kabe MEERA deewani hai..
Yahan sab loog kehty hai meri ankhoon mai ansoon hai..
Jo tu samjhe to Moti hai jo na samjhe to pani hai..
Najane Kion Dil Laga Lete Hain Laug
Khud Ko Yuun Hi Saza Dete Hain Laug
Jab Koi Pass Ho To Kadar Nahin Karte
Door Koi Chala Jaey To Sada Dete Hain Laug
Jab Mil Jaey Safar Main Naya Hum-Safar Koi
Per Kion Purani Rafaqat Ko Bhula Dete Hain Laug
Gham Bhi Dete Hain Or Kehte Hain Bhool Jao
Hamari Chahat Ka Ye Sila Dete Hain Laog
Leta Hoon Tera Naam Tou
Ulajh Jata Hoon Saanso''n Se

Samajh Nahi Aata Zindagi
Saanso''n Se Hy Ya Tere Naam Se ...