bhool gaya hai yeh dil

bhool gaya hai yeh dil
bhool gaya hai yeh dil .. khushiyon ke mehfil sajaana..
jaise bhool gaye hai hum ke.. ek waada tha nibhaana..
ek waada dosti ka.. ek waada bandagi ka.. ek waada zindagi ka ....
kaash woh karde hamaari is khata - e - muhabbat ko....
yaa phir jal jaaye hum is bewafa dil ke angaaron mein ....
kaash yeh tanhaayiya nahin laati yaadein un ki....
tho na likhte hum unke yaadon mein .....
na is dil mein un ke liye pyaar hota ...
na hamein yeh shab-e-gham ka intzaar hota .......
  

Jun, 07 2010     482 chars (4 sms)     6686 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Andhere me rosni ka wajood shayd kahi kho gaya hai,
khusi ka silsila bhi ab to ateet ho gaya hai.
Ik roshan shama banana chahte the khud ko hum,
taki door kar saken andhere ka gham.
Tej andhi ne shama ka vajood
usi andhere me dubo diya hai.
Baarish Hui Tou
Lag k Dareechey Se
Ghar k Hum

Chup Chaap
Tumhai''n
Sochtey Rahey ... !!!
Kabhi es tarah meray ham nafs,
Sabhi chahtein meray naam kar,
Agar ho sakay tu kabhi kahein,
Meray naam bhi koi shaam kar,
Meray dil k saye main aa zara !
Meri dharknon main qayam kar,
Yeh jo meray lafzon k phool hain,
Teray raastay ki ye dhool hain,
Kabhi in say sun meri dastan,
Kabhi in k sath qalam kr.
kon ujra ho ga bhari duniya mai hamari tarha.

tu b na mila humko aur khud ko b ganwa bethe.
Wo Jo basa Hai Mere Dil Mein Usey Bataon Kese
Dar Bhi Lagta Hai Zamane Se Chupaon Kese
WO Shaks To Panchi Hai Urr jaye Ga
Mein Khud Ko Uske Peeche Uraon Kese
Mein To Uske Liye Duniya Gi Chor Don
Iss Se Zada Mein usey toot ker chahon kese
dil hai jo uss ajnabi ko apna manta hai
iss dil-e-nadan ko mein samjhaon kese
wo shaks mere dil pe hukmurani kerta hai
uske elawa mein kisi aur ko basaon kese
Main yeh kehta hon ke
phir se dil lagana chahiye


Neend ki aghosh main
sapna suhana chahiye


Dil ki lau ko sard kar
dena aqal mandi nahi

Dil lagane ko agar-chay
ek zamana chahiye

Koi taaza phool le kar
milne aa jaye to phir

Apne zakhmi jaan-o-dil
ko bhool jana chahiye.
jo amtayaz sham-o-sahar se guzer gaye.
kuch ase hi muqaam nazar se guzer gaye.
apni tu hovi tumam kainaat-e-ghum.
du ashak thy jo dedaye ter se guzer gaye.
Badla jo Waqt, Gehri Rafaqat Badal Gai.

Suraj Dhala To Saaye ki Soorat Badal Gai.

Ik Umr Tak main Uski Zaroorat Bana raha.

Phir yun Hua k Uski Zaroorat Badal Gai..
Mujh se Wo Aksar Kehti Thi.

Meri Bus Itni Khuahish Hai.

Kuch Aisay Pehchani Jaon.

Aap K NAAM se Jani Jaon.
Baharain phool barsati hain KHUSHI ke mosam me
Khushboo phelati hy chaman me is mosam me
Sanam miltay hain prem hota hy ummang se
Yeh basant ki bahar hy dil per is mosam me
Kahan Say Laoun Hunar Ab osy Manany Ka,
Koi Jawaz Nahi Us K Roth Jany Ka,
Mohabbaton Main Saza Bhi Mujhhe Ko Milne The,
K Jurm Mainy Keya Rabty Barhany Ka,
Mere Wajud Main Wafa
Ki Roshni Utaar De

Phr Itna Pyar De k Mujhy
Chahato''n Main Maar De

Bohat Udaas Tha So Uth
K Tere Paas Aa Gya

Kuch Aisi Baat Ker Jo
Dil Ko Chain-o-Qarar De

Suna Hy Teri Ek Nazar
Sanwarti Hy Zindagi

Jo Ho Saky Tou Aaj Meri
Zindagi Sanwar De