us se duur janay ka

us se duur janay ka
us se duur janay ka irada na tha
sada sath rehnay ka b wada na tha

woh yaad na karein ge,yeh jante the hum
per itne jaldi bhool jaein ge, yeh andaaza na tha
  

Jun, 05 2010     162 chars (2 sms)     2104 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mujhe Teri Batain Tera Qissa Acha Lagta Hai
Tujhse Mera Jo Rishta Acha Lagta Hai
Tere Saath Jo Guzre Bas Wohi Pal Hain Mere
Hana Mujhe Wo Apni Hayat Ka Wo Hissa Acha Lagta Hai

Phir Wafai''n Bhi Kro
Gy Tou Koi Na Pooche
Ga ''Faraz'' !!

Ye Tere Saare Sitam
Faqt Mere Marr Jaaney
Tak Hyn !!
In Bhete Aansuon Se Aqidat Hai Mujhe B
Teri Tarah Hi Khud Se Shikayat Hai Mujhe B
Tu Agar Nazuk Hai Agar To Mein B Nahi Pathar
Tanhai Mein B Rone KI Aadat Hai Mujhe B
tumhe apne dil me basahea hai me na
khtaha hai yeh mere yehe juram hai mera
jo chaho mohabat ki ab tum saza do
bhot muj ko is me bhe rahiat mele ge....
Dil k arman ko dil me sula na dena

apni khubsurat aankho ko rula na dena

kal kisne dekha he

aakhir hum na rahe to hume bhula na dena.
Agar Talaash Karuun Koii Mil Hii Jaayegaa
Magar Tumhaarii Tarah Kaun Mujhe Chaahegaa

Tumhen Zaruur Koii Chaahaton Se Dekhegaa
Magar Vo Aankhen Hamaarii Kahaan Se Laayegaa

Naa Jaane Kab Tere Dil Par Naii Sii Dastak Ho
Makaan Khaalii Huaa Hai To Koii Aayegaa

Main Apanii Raah Men Diivaar Ban Ke Baithaa Huun
Agar Vo Aayaa To Kis Raaste Se Aayegaa

Tumhaare Saath Ye Mausam Farishton Jaisaa Hai
Tumhaare Baad Ye Mausam Bahut Sataayegaa
Tumhy agar roth kr jana hai tu bin btye chale jana.

bata k jao ge tu hum khud ko sanbhal na payen ge.
us nay door rahnay ka
mashwara bhi likkha hai
sath he muhabbat ka
wasta bhi likkha hai
us nay yah bhi likkha hai
meray ghar nahin aana
saaf saaf lafzon mein
raasta bhi likkha hai
kuch huroof likkhay hain
zabt ki naseehat mein
kuch huroof mein us nay
hosla bhi likkha hai
shukriya bhi likkha hai
dil say yaad karnay ka
dil say dil ka hai kitna
faasla bhi likkha hai
aankho me raha dil me utar kar nahi dekha,
kashti ke musafir ne samander nahi dekha,
yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine,
unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
Uddas logon say pyar kerna koi tu sekhy
safed lamho mian rang bharna koi tu sekhy

koi tu aaye khiza mian patty ugany wala
gulon ki khushbo ko qeed kerna koi tu sekhy

koi dekhaye mohabbton k saraab mujh ko
meri nighaon say bat kerna koi tu sekhy

koi tu aaye naii rutoon ka pyaam laker
andheri rato mian chand bana koi tu sekhy

koi piyamber koi Imam-e-zaman hi aaye
Aseer zheno mian soch bhrna koi tu sekhy
Mujh ko teray Qurb ki khawahish tou hai magar.....

Ulfat ka jo Maza hai wo inhi Faaslon main hai..........
Tere tan ki khushboo se manoos hon mein,
Magar ye achanak,
Ye anjani Khushboo ka madham sa jhonka,
Teri Khushboen mein mad Gham hua ha,
Mujhe is ke bare mein kucha na batao,
jao.....
Ye kapray badal kar to aao,
Mere lub ki atni hi junbish bohat ha,
Ke pehloo mein tere
Na ab soo sakon ga......!