Imtihaan ke chaar din

Imtihaan ke chaar din
Imtihaan ke chaar din hote hai mahobbat janam-janam tak chalti,meri zindege main aaye ho bahaar bankar tum yoohi rahna pyaar-pyar bankar..........
  

Jun, 05 2010     147 chars (1 sms)     2367 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kuch khawab hain jin ko likhna hai
Tabeer ki surat deni hai
Kuch loog hain ujaare dil waale
Jinhain apni mohabbat deni hai
Kuch phool hain jinko chunana hai
Aur haar ki surat deni hai
Kuch apni neend baqi hai
Jisse bantana hai kuch loogon mai
Unko bhi to rahaat deni hai
Aae umer-e-rawan!
Ahista chal
Abhi khasa karz chukana hai.
Hans Bol K Rukhsat Hona Hay
Phir Tanha Baith Ke Rona Hay

Din Yaad k Saya Daar Shajar
Shab Khabon Bhara Bichona Hay

Mujhy Ain Khizan Main Tere Liye
Phoolon Ka Haar Pirona Hay

Tere Pyar Ka Samra La Haasil
Pather main Beej Ka Bona Hay

Itna Dilgeer Ameer Na Ho
Ho Jaye Ga Jo Kuch Hona Hay
Daag-E-Tamana Laga Hai Dil per
Tera Naam hee Likha Hai Dil per
Mein Jo Toot Gia Phir Simat Na Paon Ga
Totay Ga Phir Jor Jaye Ga Bharosa Hai Dil Per
dil ko choo jate ha yoan
raat ki awaz kabhe
choank othta hoan
kahien tum nay pokara he na ho
Meri Tanhaaiyon Tum Hi Lagaa Lo Mujko Seene Se...,
Ke Mein Ghabhra Gayaa Hun..
Is Tarah Ro Ro Ke Jeene Se..!!!

Piyas Aesi K Pee Jaon Aankain uski
Naseeb Aesa K moyasar Zehar B Nahi
Be-Los Wafain Koi Hum Se Seekey
Jisey Toot K Chaha Usey Khabar Nahi
main ab waisa hon jesa tum mujhe chor gey thy"dost"

bus kuch ankhin zard hogai hain tery any ki aas main.
Dunya ke sitam ka koi hisaab nahi,









Lekin meri houslo ka bhi jawaab nahi...
Wo jisay samajhtay thay zindagi
Meri dharkano ka faraib tha
Mujhay muskrana sikha k wo
Meri rooh tak ko rula gaya
Wo k jis ko panay ki chah mein
Mein kabhi khilta gulaab thi
Meri pati pati bikhar gae
Mujhay aisi thokar laga gaya
Ajab shakhs tha wo ay zindagi
Jisay samjh k bhi na samajh sakay
Mujhay chahta bhi gazab ka tha
Tum Mujhe Kabhi Dil Kabhi Aakhon Se Pukaro
Ye Hothon Ke Taqaluf To Zamane Ke Liye Hain
Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--
Jiger Ho Gaye Ga Chalni Yey Ankhai Khon Roye Gein.



AZ33M Logo Se Nibah K Kuch Nai Milta.