Ek muddat hui ek zamana

Ek muddat hui ek zamana
Ek muddat hui ek zamana hua
Khaak-e-gulshan mein jab aashiyana hua

zulf-e-barham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujrimana hua

phool jalte rahe chaand hansta raha
aarzoo ka muqammal fasana hua

daag dil ke shahanshah ke sikke bane
dil ka muflis-kada jab Khazana hua

rah_bar ne palat kar na dekha kabhi
rah-o-raste ka nishana hua

ham jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah aap ka aastana hua

dekh mizraab se Khoon tapakne laga
saaz ka taar marg-e-tarana hua

pehle hoti thi koi wafa-parvari
ab to "Sagar" ye qissa purana hua...........
  

Jun, 05 2010     575 chars (4 sms)     2987 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo Ek Shab Jali Tou Usay SHAMMA Keh Dia

Hum Barson Se Jal Rahe Hyn Koi Tou Khitaab Do ?
Tute Dil ka har Tukra ye Kehta hai
Pyaar na karna
Pyaar to bas ek dhoka hai
Aansu nahi thamte
Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha

Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gaya tha

Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh morr gaya tha

Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha

Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gaya tha...
KhuD Piyaas Ka SehRa Hon MaGaR DiL Ki Ye ZiD HaI.!

HaR DashT PaR Sawan Ki TaRha TooT Kar Barsoon~~
Us k bina b Zindagi kat he Jaye Gi...

Hasrat-e-zindagi tha wo Shart-e-zindagi to nahi
Ye bi aadab hamare hen

tumhe kya maaalom,,

Ham tumhe jeet kr haare hen tum kya maalom,,

Ek tum ho k samjhthte hi nahi humen apna,,

Ek hum k sirf tumhare hen tumhe kya maalom,,
dard-e-dil se howa hon ub main ashna.
pahle tu pochta tha khamosh kauon hai tu.
TAMAM GAM BHUL JANE KO G KARTA HE AAJ, MUSKURANE KO G KARTA HE, BAHUT G LIYE SAHARE AAPKI YADON KE, AAJ APKE PAS AANE KO G KARTA HAI.
Sitare jo damakte hain
kisi ki chashm-e-heeran main
mulaqatain jo hoti hain
jamal-e- abr-o-baraan main
yeh na abaad waqtoon main
dil-e-nashaad main ho gee
muhabbat ab nahi ho gee
yeh kuch din baa''d main ho gee
guzar jain ge jab yeh din
yeh unki yaad main ho gee
Mohabat Na Rahe Tu Rah Kuch B Nai Karta,
K Itni Taez Ahndi Ma Bacha Kuch B Nai Karta

Wo Muj Se Rahta Ha Khafa Na Jane Kyon,
Ma Jis Ko Dekhne K Siwa Kuch B Nai Karta

Muje Abb Yad Rakna Wo Gawara He Nai Karta,
Jise Ma Yad Rakne Ke Sewa Kuch B Nai Karta...
Likh Raha Hoon Main Un Khatto''n K Jawab

Jo k tum Ne Kabhi Likhe Hii Nahi

Un Jawabo''n Main In Ko Rakh Dena

Jo K Tum Ne Kabhi Parhe Hii Nahi
Firdous-e-Jannat mein lakh horon ka tassawar hi faraz

Mein ek insan k ishq se niklon to to wahan tak sochon