Chehre pe mere zulf ko

Chehre pe mere zulf ko
Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din
Kyaa roz garajte ho baras jaao kisii din

Raazon ki tarha utro mere dil mein kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din

Pedon ki tarah husn ki baarish mein nahaa loon
Baadal ki tarha jhoom ke ghirr aao kisi din

Khushboo ki tarha guzro mere dil ki gali se
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kisi din

Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa ki
Phir lutf-e-shab- a-vasl ko dohraao kisi din

Guzrein jo mere ghar se to ruk jaayein sitaare
Iss tarha meri raat ko chamkaao kisi din

Main apni har ik saans usi raat ko de doon
Sarr rakh ke mere seene pe so jaao kisi din
  

Jun, 04 2010     640 chars (4 sms)     2790 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

apny ghar ki tareekiyon ko kis tarha mitaon,
.
.
.
bohat maghroor hai wo chaand marzi se niklta hai.
tera mera rishta kuch aisa uljha
us ko suljhaty suljhaty
apny dil ki porein zakhmi ker betha
rishta shaid sulajh na paey
lekin is ko suljhany ki dhun main
sary khwab bhula betha hon
apna ap ganwa betha hon
Kaho ehsaas hota hy

Bicherney ka, bikherney ka, ujerney ka

Ager aisa nahi to kiss liye

be-chain ho itney

JawaB aYa

Sunoo Iqrar hy mujh ko

mujhe ehsass hota hy

Mager itna nahi hota

Yeh dil her pal buhat bekul, buhat muztarib

buhat be-taab hota hy

Mager iTna naHi HoTa
YEH
KIS
NE
HAM
SE
LAHO
KA
EHRAAJ
PHIR MANGA


ABI TO SOEY THAY SAR-E-MAQTAL KO RURKHARU KAR K
Koshish

kal Chandni kitni Madhum thi
kal Raat b kitni Madhum thi
Kal Taarey kitne Chup chup thy
Kal Aankh b meri Num num thi
kal Aasmaa ne Phir se...
Dard ki Chaadar Taani thi...
Kal Har soo Bari Veyraani Thi
Kal Phir se Woo he Kahaani Thi..
Kal Shayad Mere Dil ne Tum ko..
Bhool Janey ki Thani thi...
Kitna Bhi Mukhlis Ho Jaoun Kissi
Se Bhi, Kho He Daita Hu Ussay .
Wajah Ban Ker Beach Meey Aksar
Kabhi Mera Mazhab Kabhi meri zaat ayi
Idhar Udhar Kya Bhatakte Ho Pyar Ki Tallash Main

FARAZZ

Kabhi Peshawar To Chakkar Lagaoo
eK sHakHs kAr rAhA hAi aBhI tAk wAfA kA zIkAr fArAz...

kAasH uS zAbAan-dArAz kA mUnh nOch lE kOi.
Bewafai Se Pereshan B Ho Jate Hain
Naram Jhonkay Kabhi Tofan B Ho jate Hain
Humne Mehboob Jo Badla To Taujab Kesa
Log Kafir Se Musalman Bhi To Ho Jate Hain
Mairy marnay kay baad mairee ankhan kholee rahe

FARAZ

q kay mujy adatt see ho gaie thee tary intazar ki
Tumhare Hijr Ki Sadiyan, Tumhare Wasal K Din...
Main Us Shumar Se Niklon Tu Aur Kuch Sochon...!!
Nahi Tha Zor Us Ki Stam Nawazio''n Ka Magar

Mjhe Bhi Hosley Mere Khuda Se Miley

Meri Ana Kyun Kehti Hy Bar Bar Mjhe

Wo Mohabbat Kia Jo Iltija Se Miley