Shaam Tak Subha ki

Shaam Tak Subha ki
Shaam Tak Subha ki Nazron se Utar Jaatay Hain
itnay samjhoto pe jeetay Hain ke Mar jaatay Hain

Hum to Be Naam iraadon ke Musaafir Hain "Tanha"
Kuch Pata Ho to Batayen kidhar Jaatay Hain

Ghar ki Girti Hui deevarain Hi Mujh se Achi
Raasta Chaltay Hue Log Thahar Jaatay Hain

Ek judai ka wo Lamha ke jo Marta Hi Nahi
Log Kahtay thay Sab WaQt Guzar Jaatay Hain

Phir Wahi Talkhi-e-Haalat MuQaddar Thahri
Nashe Kaise bhi Hoon Kuch Din Main Utar Jaatay Hain
  

Jun, 04 2010     467 chars (3 sms)     7293 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mein bewafa ho ghaya to ghila na karna,



aur kabhi mujh ko khud sey judda na karna
Tu Agar Sath Mera De To Bharosa Hai Mujhe,

Main Kehkashan Mein Sitaron Ko Bhi Chhu Paungi,

Main Dard-O-Yaas Ki Duniya Pe Fateh Paungi,

Tere Dil Mein Tere Jeevan Mein Sama Jaungi,
Tu Agar Sath Mera De To Bharosa Hai Mujhe.........;->
mujhe ye gham nahi wo mujhse rotha hai wasi..

gham to bus ye he k ab uska khayal kon rakhay ga...
American: hamaray haan dogs bomb dhoondh letay hain Japanese: hamaray haan to fish ball se khelti hai Pakistani: hamaray haan to bandar bhi sms parh leta hai


Is raat ki tanhayoon k''
sab rang badal gaye hain

chand nikla hai wese hi
andhere badal gye hain

jin k bharose thi khushyan
wo badal gaye hain

manzilain to ab bhi wohi hain
kuch rastay badal gaye hain

jinpe kiya tha bharosa hum ne
wo dost bichar gaye hain

dekhe the kabhi jo hum ne
wo khwab badal gaye hain

jo banay the kabhi humsafar
aaj wo hi mukar gaye hain

is totay hue dil k saray
jazbaat badal gaye hain

na badlay kabhi hum
na badlay hamare khayalat

bus rona hai yahi Bas
kuch log badal gaye hain
meri gurbat ne uraya hay mere fun ka mazaq.

teri dolat ne tere aeb chupa rakhay hain...
hamain khud apnay tajasus se hain gilay kia kia



woh baat us main nai thi jo us ke naam main thee
Tumse Milne Ki Justju Bi Ha

Aur Tu Mere Rubru Bi Ha

Hosla b Nahi Hy Jine Ka

Aur Jeene Ki Arrzu Bhi Ha

Hum ne Socha Dil Jala Dain

Phir Khyal Aya Dil Me Tu Bhi Ha
Wo kehta tha tere jism ka saaya hoon fArAz...

Shayad issi liye andheron mein saath chhor gya...
Apny Ghar Ka
Aik hi Rasta...
Dhoop K teelay
Rait Ka Daryaa,,,
Dewaaron per
Aas Ki Bailein
Sahen K ander
Hijr Ka Poda,,,
Har Kamray Mein
Uss Ki Yaadein...
Sab Chezon mein
Uss Ka Chehra
Andheri raat mein rehtey to kitna acha tha...
hum apni zaat mein rehtey to kitna acha tha
dukhon ne baant liya hai tumharey baad hamein
tumharey haath mein rehtey to kitna acha tha.....
Marham Na Rakh Sako
Jo Ksi Gehre Ghaao Pr

Us Ko Kuraidny Mein
Kch Behtri Nhi

Dil Jeetny k Fun Pr Agr
Dustaras Na Ho

Dukhti Rago''n Ko
Chehrhna Danish-wari
Nhi