Khud say ruthoon to

Khud say ruthoon to
Khud say ruthoon to kayee roz na khud say boloon
Phir kisi dard ki deewar say lag kar ro loon

Tu samander hai to phir apni sakhawat bhi dikha
Kya zaroori hai k main pyaas ka daaman kholoon

Main k ek sabr ka sehraa nazar ata hoon tujhay
Tu jo chahay to teray wastay darya ro loon

Aur meyaar rafaqat k hain aisa bhi nahin
Jo mohabbat say milay saath isi k ho loon

Khud ko umron say muqfal kiye betha hoon faraz
Who kabhi aye to khalwat-kada e jaan kholoon
  

Jun, 04 2010     472 chars (3 sms)     2234 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Humara har lamha chura liya aap ne,
Aankho ko ik chand dikha diya aap ne,
Hume zindagi to di kissi aur ne,
Par itna pyaar kar ke jeena sikha diya aap ne
madad q mangte ho''Ghalib''auron k darbar se,,,

wo konsa kaam hai jo hota nahi tere PARWARDIGAR se....
yeh sach hai keh tum mari zindagi ho.
zindagi ka magar bahrosa kya
Kuch Bay Jaan Umeedain Hain Zinda!
Kuch Hasratain Hain Baqi!
Toota Tu Buhat Kuch Hai Mujh Main!
Haan Per Kuch Sambhalna Hai Baqi!
Phoolon Se Puchho Isme Singar Kitna Hai
Mere Dil Se Puchho Isme Pyar Kitna Hai
Saaye Ki Tarha Tumhara Pyaar Saath Rehta Hai
Tumhare Saath Guzra Hua Har Lamha Yaad Rehta Hai
Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Jaisi Chahtey The Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili,

Milney Ko Zindgi Main Kahin Hum-Safar Miley
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,

Chehroon Main Doosroo Ke Tumhain Doondtey Rahey
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili,

Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas Kiya Kahoon
Alfaaz Doondney Ki Bhi Mohalat Nahi Mili,

Tujh Ko Gilla Raha Ke Tawajja Na Di Tujhey
Laikin Humain Khud Apni Rafaqat Nahi Mili,

Her Shaks Zindgi Main Bohat Dair Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili........ ..!
shayari ki kya baat karte ho ......
hum bhi kabhi shayar they ...........
maa ne banana chaha tha docter ........
kyoki baapu usjamane mein lawyer they................
Bheegi AankhOn WaLi Larki


Meri Taraf Jab Daikhti Hai Tu


Mann Main JaL ThaLL Kar Jati Hai


Mujh Ko PagAL Kar Jati Hai. .*
"Ab to bus jaan he daine ki baari hai jANA,

Mein kahan tak sabit karoon k wafa hai mujh main
Udaasiyan Badi Pathjhar ki tarha Chayi thi,

Kisi ki Yaad se Dil mein Bahar le aaye …!!!
Meri Palkon Ki Chokhat Pey Basney Wale,

Shab-E-Tanhai Ke Mausam Main Barasne Wale,

Mere Aansu Mere Ehad-E-Wafa Ko Nibha Dete Hai,

Ik Tere Siwa Har Shakhs Ko Bhula Dete Hain.. !!
Ummid ki Imarat deh gayi,
Aankhon se aansu ki nadi beh gayi,
Tumhaari kya izzat reh gayi,
Jab padosi ki ladki tumhe bhaiyya keh gayi!!!