!!!Tunha tunha mat socha ker!!!

!!!Tunha tunha mat socha ker!!!
!!!Tunha tunha mat socha ker!!!

Tunha tunha mat socha ker
Mar jaye ga mat socha ker

Jis ki fitrat main dasna ho
Woh to dasay ga mat socha ker

Pyar ghari bhar ka hi bohat hai
Jhota, sacha, mat socha ker

Maan mere shahzade wagerna
Pachtaye ga mat socha ke
  

Jun, 03 2010     269 chars (2 sms)     2484 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

nikla tu tha naye dil ki talash main manzil pe AMI....

raste pe mila wohi dil zakhmi halat main k raham aa gaya..
hona tu wohi hai jo muqaddar me likha hai,

lekin woh mere khuwab,mere khuwab,mere khuwab.
Yaad mein doobney se achcha hai
kay ,chor kar us yaad k samandar ko
koi aisa jazeera dhond lo
kay
jahan sakoon ho, bohat sakoon ho
magar
hum jaise logon ko to
doobna achcha lagta hai
to phir
doobey raho us ki yaad mein
jo k hum ko
kab ka bhool chuka hai
kiya waqa''ie
WO BHOOL CHUKA HO GA
Apni haar main kitna sakoon tha ''faraz''

us Shakhs ne jb Galy Lagaya Jeetnay k Baad.
Nighahain bolti hain Betahasha

mohabat paglon ki guftgu hai.
Tamam Umar Mujhe Tootna Bhikarna Tha....

Wo Meherbaan Bhi Kahan Tak Samet Tha Mujhe....
majburi kya hai unhone batai to hoti,

judai ki baat yun sunai na hoti,

qabar ki mitti bhi de dete hum unhe,

meri maut ki khuwaish jatai to hoti
Abhi Socha Hi Tha Dhoondo''n
Uffaq k Paar Ka Raasta

Tou Dil Bola Mera Socho Kabhi
Ka La-Pataa Hoon Main !!!
Kon Hai Suraj Kon Hai Saya Mai Bhi Socho''n Tu Bhi Soch
Kis Ne Pehle Haath Churaya Main Bhi Socho''n Tu Bhi Soch

Jis Ki Khatir Sahil Sahil Sipiyan Chunte Beet Gaye
Kyun Wo Moti Haath Na Aaya Main Bhi Socho''n Tu Bhi Soch

Kis Ko Kitna Naam Mila Aur Kis Ko Kia Ilzaam Mila
Kis Ne Kis Ka Waqt Ganwaya Main Bhi Socho''n Tu Bhi Soch

Kis Ne Kitni Aas Bandhai Kis Ne Kitni Jaan Churaai
Kis Ne Kitna Saath Nibhaya Main Bhi Socho''n Tu Bhi Soch

Hum Tou Ta''aluq K Bare Main Sochne Par Majbuur Huey
Jeevan Main Ye Din Kyun Aaya Main Bhi Socho''n Tu Bhi Soch
chalo maan lete hain....
.
.
tumhy mujh se bhut muhabat hai...
.
.
.
lykn es baat ka yaqeen dilao...
.
.
.
k
tumhy b apne aap se utni hi muhabat hai...
Mgroor jo kehti hai kehti rhay duniya
hum mur k kisi shaks ko dhekha nahi krtay
kitne parvane jale raaz ye pane ke liye
Shamma jalne ke liye hai ya jalane ke liye?

Ronewale tujhe rone ka saliqa bhi nahi
ashq pine ke liye hai ya bahane ke liye?

Aaj kah dunga shab-e-gum ki shararat unse
roz aa jati hai kambaqt satane ke liye

humko maloom tha aap ayenge mere ghar lekin
khud chala aya hoon yaad dilaneke liye .!