yehi taarey tumhaari

yehi taarey tumhaari
yehi taarey tumhaari aankh ki chilman mein rehtey thay
yehi sooraj nikalta tha tumhaarey baam se pehley


yay saarey rang murda thay tumhari shakl banney tak
yay saarey lafz mohmal thay tumhaarey naam se pehley
  

Jun, 02 2010     216 chars (2 sms)     1835 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

"KAHAN" "KAHAN" SE ALAG KARO GAY MUJHY

HAZAR "RISHTOON" MAIN TUM SE BANDHA HOWA HON MAIN
uski ankhon me nazar aata tha sara jahan muj ko..

wassi

magar uski ankhon me khud ko kabhi dekha hi nhi..
kash usk ru baro na karen mujko hashar main.

kitne meray sawal hen jin ka nahi jawab hai.
Bhigte rahte hai Baarish me Aksar,

Kabhi mangi kisi se Panaah nahi.

Hasrate puri na ho toh na sahi,

Khwab dekhna koi gunah to nahi.
mujhay khabar thi,
zamaana chaahay bura he samjhay,
bhalay say ghar main mukhaalifat ho,
tumhaaray logon ko na-pasand ho,
tumhain to mujh par yaqeen hoga!
magar mujhay yeh khabar na thi,
tumhaari aankhon ki unsiyat bhi,
ek ajnabiyat say dekhti hay,
yeh waqt mushkil-tareen hay na!!
suno...
main majboor ho gaya hoon,
yeh sochnay par..
yeh sochnay par..
tumhain to mujh par yaqeen hay na...!!!
Mohabt woh ho, jo jan ki dhop ho

FEB- ki barish ho

MAR- ki sham ho

APR- ki hawa ho

MAY- ki subah ho

JUN- ki chawon ho

JUL- ki khushbo ho

AUG- ki taron bhari rat ho

SEP- ki chandin ho,

OCT- ki rim-jhim ho,

NOV- ki bahar ho

DEC- ki sard raat main meiry sard hath hon,

or aap k liye dua ho,

Always b happy
Meray nazdeek aa k dekh meray ahsas ki shiddat"MOHSIN",


Mera dil kitna dharakta hai teray naam k sath..
Kuch kahain to tauheene hasti hai
Kaisi ajab yeh dunya ki basti hai
Maree ko tu dain kandha sabhi
Magar zindagi raham ko tarasti hai
khush rahe ya udaas rahe
zindagi tere aas pas rahe
chand in baadlio se niklega
koi aaye ga dil ko aas rahe
hum muhabat ke phool hai shayad
koi kanta bhi aas pass rahe
mere seene me is tarah bas ja
meri sanson me teri khushbu rahe
aaj hum sab ke saath bahut hase
aur phir deir tak udaas rahe
Mera Shaaur Behalta Nahien Hai Lafzon Se
Mein Tere Khatt K Nahin Tere Intizar Mein Hoon
Kuch tu meray dard ka mafhoom samajh
Yeh haansta huwa chehra tu auron k liye h
kisi ko batana hai mai ne yehi
meray sang sara zamana sahi
tmhari alag hai jagah jan-e-jaa''n
her aahat pe hota hai tera gumaa''n
dua k liye haath jab bhi uthay
zuba''n sab se pehlay tera naam le
khushi ho adhuri to ghum ho siva
lagay dil nah mera tmharay bina