Pathar Hai Tery Hath

Pathar Hai Tery Hath
Pathar Hai Tery Hath Mai Ya Koi Phool Hai,

Jb Tu Qabul Hai, Tera Sub Kuch Qabul Hai,

Phr Tu Ne De Diya Hai Naya Faasla Mjhy,

Sar Par Abhi Tu Pichli Masaft Ki Dhool Hai,

Tu Dil Py Bojh Lekr Mulaqat Ko Na Aa,

Milna Hai Istrha Tu Bichrna Qabul Hai,

Tu Yar Hai To Itni Kari Guftgu Na Kr,

Tera Asool Hai Tu Mera B Asool Hai,

Lafzon Ki Aabro Ko Gnwa Na Yun Adeem,

Jo Maanta Nhi, Usy Kehna Fazul Hai.....!!!
  

Jun, 02 2010     428 chars (3 sms)     3939 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Uss bhegi bheegi sham mein
Jab wo merey sath tha
Khamooshi thi....,
Verani thi.....,
Pass ho ker bhi mein
Tanha thi.....,.
Sarey wadey bikher gye
Uss ki majborion k angan mein
Palatey guzertey qadam uss k
Dil ki khahishon ko thukra gye
Judayi ka ye bey-sada manzer
Mugh ko pal pal terpaney laga
Phir sab lamhey kho gye
Buss aik lamha baqi hey
Hijer ki ratoon mein tanhayi ka
Or uss ki khamoosh judayi ka............
Roh ko hijr k kaanton sY guzaarY To sahi,


Dil koi GehrY Samandar main UtaarY To sahi,

Phir main ek Hansti hoi Subah laa kr don,

Raat wo merY Lye ro kr GuzaarY To sahi.
YE MAusAm Bhi KitnA PyArA HAi,

KArti YE HAwAye KuCh IshArA HAi,

ZArA SAmJhO InkE jAZbAtOn KO,

YE KEh RAhi AapkO DiL SE HuMnE PukArA HAi..
Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo

Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo

Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo

Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo

Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo
mein ne mangi thi ujaley ki fakat aik kiran,
tum se yeh kis ne kaha aag laga di jaye...
un se dori b bahar,hal qyamat thi magar.

un ko pa kr b chean na aya ye qissa kay he?
Chehre pe khushi chah jati hai

Aankhon mein suroor aajata hai

Jab tum MuJhe apna kehte Ho

Apne pe guroor Aajata hai
woh aye hamari lash per roye be naqab.

ab mayat uthaye kaun key sub meh-v-hussun they.
main tere milnay ko moajza keh raha tha lekin..

tere bicharnay ka saniha bhi kamaal guzra...
Kis Qadar Anokha Hy
Zaabta Mohabbat Ka

Kab Na Jaany Ho Jaye
Mo''ajza Mohabbat Ka

Apni Zaat Se Bhi Wo
Ajnabi Sa Lgta Hy

Jis K Saath Ho Jaye
Haadsa Mohabbat Ka
Mohsin khushi ki Bheek mAin kis kis Se maanGta


AchA huA k Gham Se Tabiat Behal Gai
Sitare jo damakte hain
kisi ki chashm-e-heeran main
mulaqatain jo hoti hain
jamal-e- abr-o-baraan main
yeh na abaad waqtoon main
dil-e-nashaad main ho gee
muhabbat ab nahi ho gee
yeh kuch din baa''d main ho gee
guzar jain ge jab yeh din
yeh unki yaad main ho gee ...