sirf ghabraayegaa woh, tum dekhnaa

sirf ghabraayegaa woh, tum dekhnaa
sirf ghabraayegaa woh, tum dekhnaa.
baat ulzaayegaa woh, tum dekhnaa.

mahez uska naam us se pooch lo,
kahe nahin paayegaa woh, tum dekhnaa.

hoth par chullu liye jhuk jao to,
aur tarsaayega woh, tum dekhnaa

haan, mujhe pahechaantaa to hai magar
phir mukar jaayegaa woh, tum dekhnaa.

shaam dhalnaa, Ayesha kahenaa teraa,
‘khair, kal aayega woh, tum dekhnaa.’
  

Jun, 01 2010     375 chars (3 sms)     1737 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Zara Si Baat Dair Tak Rulati Rahi,

Khushi Main Bhi Ankh Ashk Bhati Rahi,

Koi Mil K Kho Gaya, Koi Kho K Mil Gaya,

Bas Zindagi Humein Aisay He Azmati Rahi
Phir itne mayous q ho us ki bewafai per,

Tum khud hi to kehtay the k wo sab se juda hai.
aakhri mulaqat sey mujhko bas ye maloom howa.

usse dushwar lagta hai ab mujhse taakluq-e-wafa rakhna.....
Para hAi WaaSTa "AMJaD" MuhabbaT Ka YaZeedOn Sey!


Yahaan huM Apni AankhOn Mein Bhi Paani Rakh Nahi SakTey.~!
ye udasian , ye pareshanian mera muqadar hain

dekho tum yoon na pareshan hoa karoo ...........
"Phool Chunte Waqkt Kaanto Pe Bhi Nazar Rakhna
Muhobaat Mei Mom Ka Dil Aur Patthar Ka Jigar Rakhna"
Mujh me lagta hai k mujh se ziada wo hai

Khud se barh kr mujhay rehti hai zarorat uski.
tu sarmaya-e-hasti hai tera zikr kaisa..?

yaad to tab karein jab bhulaya ho tujhe..?
Jab ye mehsos hota hai k koi hai
jo meri rooh ki khamoshiyon ko apne alfaz deta hai
mere aansuon ko naam deta hai
jab bhi main muskuraoon to wo apni jaan deta hai
Samjha do apni yadon ko
wo bin bulaye pas aaya karti hain

aap to door reh kar satate ho magar
wo pas aakar aksar rulaya karti hain
main ab waisa hon jesa tum mujhe chor gey thy"dost"

bus kuch ankhin zard hogai hain tery any ki aas main.
Wo to majborioon main lipti hain
Apney shiddat bharey khyaloon main
Apney ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyaan bewafaa nahi hoti Per
Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Any waley naye azaboon se
Zardurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hot
Kyuon ki majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apney pyaar se apney saye se
Apney rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!