Mohobbat Ko Meri Is Tarah Aazmane Waale

Mohobbat Ko Meri Is Tarah Aazmane Waale
Mohobbat Ko Meri Is Tarah Aazmane Waale

Kahin Aur Jaa Ke Dhoond Chahne Waale

Hum Bhala Kaise Kar Lain Ab Yaqeen Tum Par

Jhoote Hote Hain Mohobbat Main Kasmein Uthaane Waale

Kal Shaam Jub Ye Likh Bheja Us Ne Mujh Ko

Mit Ke Reh Gaye Mohobbat Ko Mitaane Waale

Karwat Pe Karwat Phir Badalta Raha Raat Bhar

Subah Likh Bheja Shukriya Mohobbat Sikhaane Waale
  

Jun, 01 2010     373 chars (3 sms)     2316 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kar raha tha tufaan mere azaam ka tawaaf



log samajte rahe kashti banwar main hy
mujh se mat pooch kyun aankhen jhookali maine
teri tasveer thi jo tujh se chupali maine
mere muqaddar main jo likha tha ke tu mere naseeb main nahi
apne mathe ki woh tehreer mitaali maine
zindagi main yahan har kisi ko sacha pyar kahan milta hai
kisi ki wafaanon par likhi ek nazm uthali maine
gheri rehti hain din raat teri yaadein
in yaadon ke sahare zindagi saajali maine
jin ke sheron ko sun kar bahut roya karta tha
bas wohi ek baat sab se chupali maine
mana k mera katil bhi wohi tha.
saray shehr mai tarif k kabil bhi wohi tha.
kehta tha apna hoon apno mai rahuga
bani jo saf e ghair to sab se aage bhi wohi tha.
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe

Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe

Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe

Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?
Mausm ki Fiza aaj bhi
Purkaif he

Pr Guzri hui Brsaat ki
Hasrt nahi jaati.
abi justaju me hoon uski,to ehsas nahi us ko.

ro ro k pukary ga humein zara mar to jany do,,,,!
Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe

Ik Chand Mujhay Nazar Aaya
Bas Ankhon Say Molaqat Hoe

Es Chand Ki Naram Nigahon Say
Es Dil Ki Har Ik Baat Hoe

Es Chand Ki Ghani Zulfon Main
Kab Sham Hoe Kab Raat Hoe

Bas Yeahe Ik Baat Hoe
Ik Naey Pyar Ki Shurwat Hoe

Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe
zaalim tha wo or zulm ki adat b boht thi,
majboor te hum bus se mohabat b boht thi,

Waqif hi na tha rasm-e-mohabat se wo warna,
Dil k liye thori c inayat b bohat thi.
Teray Kochay Se Aub Mairy Taulq Wajbi Sa Ha.





Mager Jub Be Guzerta Hon Ankhein Bheg Jati Han.
kisi k chord jane par use sanbhala tha humne bhi ek shakhs ko..

jub izhaar kua us se apni muhabat ka injaan ban gaya wo..
Chor k Tum ko janay wala

Ik Din looat k aye to

Yaad ka Anchal Khushboo ban kar

Phir Tum per Lehraaye to

Koi Purana Zakhm Kuraiday

Meetha Dard Jagaaye to

Guzray Pal ka Dilkash Sapna

Ankhoon mein bas jaye to

Dil per Zakhm laganay wala

Marhum lay kar aye to

Maaan ka Sheesha tornay wala

Phir se Jornay aye to

Dhoop mein chor k janay wala

Saya ban k aye to

Dil se Dil ki raaye na poochoo

Dil pagal ho jaye to

Chor k Tum ko janay wala

ik din loat k aye to?????
aaj hum unhe bewafaa bata kar aaye hai,
unke khato ko pani mein baha kar aaye hai,
koi nikaal kar padh na le unhe,
isliye pani mein bhi aag laga kar aaye hai