wo khaak hum hain faraz

wo khaak hum hain faraz
wo khaak hum hain faraz jiska arsh pe hai muqaam.
chaman k phool nahi hain keh hum bikher jayein.
  

Jun, 01 2010     98 chars (1 sms)     4200 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Apny Buss Main Kar Laity Ho.
/
Uff Kitna Be-Bus Kar Daity Ho..
Parwanay ko sham''ma pe jal k kuch tou milta hoga ~Mohsin~

Sirf marnay ki khatir tou koi jaan nahi deta....!!
Aae Umr-E-Rawaan Aahsta Chal
Abhi Khasa Karz Chukana Hae,

Kuch Khuwaab Hain Jin Ko Likhna Hae,
Aur Tabeer Ki Surat Deni Hae,

Kuch Log Hain Ujrey Dil Waley,
Jinhain Apni Muhabbat Deni Hai,

Kuch Phool Hae Jin Ko Chunna Hae Aur Haar Ki Surat Deni Hae,

Kuch Apni Neendain Baaqi Hain,
Jinhain Bantna Hai Kuch Logo Mae,:Aur Un Ko Rahat Deni Hae,

:Aae Umr-E-Rawan Aahista Chal,

Abhi Khaasa Karz Chukana Hae....!!!!
Wo Sath Tha To Zamana Tha HumSafar Mera
Magar Ab Koi Nhi Mere Sath Ussay Kah Na

Ussay Kah Na K Bin Usske Din Nhi Katta
Sisik Sisik K Katti Hai Raat Ussay Kah Na

Ussay Pukaraoun K Khud Hi Poanch Jaoun Uske Pass
Nhi Rahe Wo Halat Ussay Kah Na

Her Jeet Uske Naam Kar Raha Hon "SaaMer"
Main Manta Hon Apni HAAR Ussay Kah Na
Toot Jata Hai Garibi Mein
Aksar Wo Rishta

Jo Aksar Khaas Hota Hai

Paraye Bhi Apne Ho Jate Hai

Jab Paisa Paas Hota He
muhabbaton Main Havas K Aseer Hum Bhe Nahe
Galat Na Jaan K Itnay Hakeer Ham Bhe Nahe

Aur Hamary Doobty Nabzoon Say Zindage Na Maang
Sakhee Zaroor Hain Per Itnay Ameer Ham Bhe Nahe

Per Nahe Hay To Bhe Qayamat Ke Tond-o-tez Hava
Kisi K Naqsh-e-qadam Ke Lakeer Ham Bhe Nahe

Hamain Bhoja Day Hamary Anaa Ko Khatam Na Kar
Bay Zarar Sahe Per Bay Zameer Ham Bhe Nahe
Mere hath se tere hath tk ye jo hath bhr ka h fasila

Ise napte ise katte meri sari umer guzar gai
Koi dukh na ho...


Koi gham na ho...


Koi aankh kabhi pur-nam na ho...


Koi dil kisi ka torray na...


Koi saath kisi ka chhorray na...


Bas pyaar ki nadya behti ho...


Kaash k dunya aisi ho...!
Na jane tum par itna yakeen kyun ha.

Tera har ik khayal haseen kyun ha.

Kehte hein pyar ka dard metha hota ha

Phir ankh se nikla hoa ye aansu namkeen kyun ha
Mar Jaonga Bakhsis Ki Dhuai Nahi Doonga
Sacahi Ka mujrim Hoon Safai Nahi Doonga
Mer k Bhi Meri Rooh Tere pass Rahe Ge
Mein Samne Aa Ke Bhi dikhai Nahi Doonga
Khul k dilse milo to saza dete hain log,
Sache jazbat b thukra dete hai log,
dekh nahi sakta do insano ka milna,
baithe huwe do parindo ko b uda dete hai log.
Humme bhi ab neend ki talab nahi rahi..
ab ratoon ko jagna aacha lagta hai..

mujhe nahi maloom k tu meri qismat hai k nahi..
magar tujhe khuda se manghna aacha lagta hai.../