hamen pyar ka hisab nahin ata.

hamen pyar ka hisab nahin ata.
hamen pyar ka hisab nahin ata.

unka palatkar jawab nahin ata.

hum hain k unki yad me sote tak nahi,

aur unko sokar bhi hamara khwab nahi ata.
  

May, 28 2010     151 chars (1 sms)     2799 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mere dukh kii koii davaa naa karo
mujhko mujhse abhi juda na karo


ye sikhaayaa hai dostii ne hamein
dost banakar kabhi wafaa na karo


ishqq haii ishqq, ye mazaak nahiin
chand lamhon mein faisala na karo


aashiqii ho yaa baandagii ''faakir''
bey-dilli sse to ebatidaa na karo
chup rehkar hum mit chale,
or kho gaye tumhari rasili baaton me,
ab to din bhi hume raat nazar aati hai,
jab kho jate hai hum teri kali zulfon me.
hum jaan se jainge tabhi baat bane gi...

tum se to koi rah nikali nahi jati...
Jin ko milta hai bohat sa pyar
Wohi Log to khush naseeb hotey hein

Aur jinn k liye nafrat b na ho jahan mein
wohi log haqeeqat mein ghareeb hotey hein
AMANAT..

Dil Ki Basti Bikhar Gayi Hoti
Ke Rooh Ke Zakhm Bhar Gaye Hote...
Yeh Zindagi To Aap Ki Amaanat Hai Warna
Hum To Kab Ke Mar Gaye Hote..
Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--
Hasne Ki Chah Ne Itna Mujhe Rulaya Hai


Koi Hamdard Nahi, Dard Mera Saaya Hai
Barsoon baad bhi uski aadat na badli bewafai ki,RAZA,
Kaash mein mohabbat nahi uss ki aadat hota...
hum tu rasty mein hi"fana"howe".

"manzil ka "AQSS" humri jan ly betha".
Kitni ajeeb baat hai k
wahi jo bachpan main
chiria k ghonslay say
girnay walay bachon ko daikh ker
bay chain ho jatey hain
aur pankhay say takra kar
mar janay wali chiria k sog main
kai kai ghantay udaas rehte hain
wahi baray ho kar na janay
kyun aashyanay jala daitay hain?
Arz-e-Matlab Ka
Adhura Silsila Rehny Dia

Dastan Keh Di
Bayan-e-Mud''da Rehny Dia

Sirf Itna Yaad Hy Dastak
Hui Thi Ek Bar

Zindagi bhar Dil Ka
Darwaza Khula Rehny Dia
Maine Socha Tha Inkaar Kar Dun,
Magar Ikraar Hota Chala Gaya,
Likha Tha Baad Mein Dhoka Khana,
Isliye Mujhe Pyar Hota Chala Gaya