ye sub moyasir-e-majood ka gumaan hi na ho.

ye sub moyasir-e-majood ka gumaan hi na ho.
ye sub moyasir-e-majood ka gumaan hi na ho.

main jis ko abr samjhta hon wo duhaan hi na ho.
  

May, 28 2010     94 chars (1 sms)     1924 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

nakam koshish kia karte hian
hum unhi se muhabbat kai karte hain
khuda ne taqdir mien aik tuta tara nahi likha
hum chand ki arzoo kia karte hian
Ek Ye Hi Aarzu Rahi Dil
Me Mud''dato''n Sy

Koi Hume''n Bhi Chahe
Dil Ki Shid''dato''n Sy

Bohat Veeran c Hy
Zindagi Apni

K Koi Nawaz Dy Hume''n
Aa Kr Mohabbato''n Sy
Saara shehar meri deewangi say waqif raha magar...

Ik shakhs ki aankhon say be-aitbaari na gayi!!!
Wo na Aaye Un ki Yaad Aa ker Wafa Ker Gai

Unse Milne Ki Tamanna SukOon Tabah Ker Gai

Aahat Hui Socha Asar Dua Ker gai

Darwaza Khula To Dekha Mazaq Hum Se hawa Ker gai
Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho, Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho... Tum Kabhi Mere Tarha Kar Bhi Lo Ikraar-e-Wafa, Pyar Karte Ho To Phir Pyar Chupate Q Ho... Ashq Aankho Mein Mere Dekh K Rote Q Ho, Dil Bhar Aata Hai To Phir Dil Ko Dukhate Q Ho... In Se Vaabasta Hai Jab Mera Muqadar Phir ....!!! Mere Shano Se Ye Zulf Hatatay Q Ho......!! Roz Mar Mar K Mujhe Jeenay Ko Kehte Q Ho, Milne Aatay Ho To Phir Laut K Jatay Q Ho... Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho, Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho
nend aati hi nahi aankhon ki dehlizon tk
khali reh jata h aksar ye makan sham ke bad
Wo Kehta Hay......
Batao Be-Sabab Kyun Rooth Jati Ho?


Mein Kehti Hoon...
Zara Mujh Ko Manaao...... .Acha Lagtaa Hay
guzishta raat uss k hont par ..

jab yeh sawal ubhra ..

muhabbat rutjagay kion maangti hai ?

kion sataati hai ?

to main dheeray say muskaya ..

aur uss k pass say uth kar ..


phir apnay ghar chala aaya ..!!
Main dukhon k jahan mian rehta hon..tu muje kyun udaas kerne chala ata hai.!
Apne Aap Mein Simte Rehna Acha Lagta Hai
Chup Chaap Kuch na Kehna Acha Lagta Hai
Ham Nahi Kabil Teri Chahat K
Phir B Teri Chahat Mein Rehna Acha Lagta Hai
Dena hai tohfa to Jfayen naa do mujhe
gin gin ke apne sar kii blayen naa do mujhe,


brasey gii ye to bhraye gii dil ki pyaas
ashqon ki gram gram ghatayen naa do mujhe,

ae mere dost mein to mussafir hun subha kaa
bekaif[bikhri] sham-e-gum kii fizayen naa do mujhe

nabz-e-hayat dub chuki ae mere huzoor
jeena hai ab mohal, duwayen na do mujhe,

jeenay se jee to bhar hi chukaa hai
iss jahan mein ab zindagi ki aur duwayen naa do mujhe,

ujrey huye chaman kaa hun phool mein gazal
isko kucchal ke aur szayen naa do muhe...
Ae Aankh Tuu Band
Ho Jaa

Khwabo''n Mein Un Ki
Surat
Tou Nazar Aane De

Intizaar Tou Subha
Phir Shruu hoga

Kam-az-Kam Raat
Tou Khusi Se Guzar
Jane De ... :)