Musafir to bichadte hain , rafaqat
kab badalti hai
Mohabbat zinda rehti hai,mohabbat
kab badalti hai
Tumhi
ko chahte hain hum ,tumhi se pyar
karte hain
Yehi barson
ki aadat hai aur aadat
kab badalti hai
Tumhe jo yaad ra
kha hai yehi apni ibadat hai
Jo paththar par li
khi jaaye ,ibarat
kab badalti hai
kali
ka phool banna aur bhi
khar jaana
Yehi qaanoon -e- fitrat hai to fitrat
kab badalti hai
Jo dil pe naqsh
kar jaaye aur aan
khon mein simat aaye
Alaamat hai yeh chaahat
ki to chaahat
kab badalti hai
Use chaaha use pooja yehi tauqeer hai apni
Hamein gumrah mat samjho ibaadat
kab badalti hai
Purane za
khm
ko ab Bhula dein yahi achcha hai
Na chaahe aap hi
koi to qismat
kab badalti hai