Ek Uski Khushi Mein APni Jaan

Ek Uski Khushi Mein APni Jaan
Ek Uski Khushi Mein APni Jaan War Don
Jeti Hui Bazi Ko Ek Pal mein Haar Don
Unki Aankho Mein Aanso Hamse Dekhe Nahi Jate
Je De Usey Gham Uski Duniya Ujar Don
  

Jun, 02 2010     161 chars (2 sms)     2080 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Yade aansu hoti to jhalak jati,
Yade likhawat hoti to mit jati,
Yade to zindgi me basa wo ehsas h jo lakh kosiso k baad b labjo me nhi simat
pati....
Youn To Sab Mile Humse Pyar K Saath
Hum Kisi Se Na Mile Tumse Mulaqat K Baad
Itni Mazboti Se Dil K Darr Band Kiye Hum Ne
Dil Mein Utri Na Koi Zaat Teri Zaat K Baad
main ab waisa hon jesa tum mujhe chor gey thy"dost"

bus kuch ankhin zard hogai hain tery any ki aas main.
tum rakh na sako gye mera tohfa sambhaal kar,

warna..

mai tumko abhi dye don ..

apna"dil"
nikaal kr..
aaj phir un kaa saamanaa hogaa
kyaa pataa us ke baad kyaa hogaa
aasamaa.N ro rahaa hai do din se
aap ne kuchh kahaa sunaa hogaa
do qadam par sahii teraa kuuchaa
ye bhii sadiyo.n kaa faasalaa hogaa
ghar jalataa hai raushanii ke liye
ko_ii mujhasaa bhii dil jalaa hogaa
Apni zat k mehwar mein tujhay gum kar loon
Ebadaton mein tera ishq raqam kar loon
Teray aanson say gar mumkin na ho wazu
Teray jism ki matti say tayamum kar loon
Bara Andhera Tha Un Ki Rahoon MEin Ay Dil
FARAZ
Mein Apna Ghar Na Jalata To Aur Kia Kerta
Is jahaan mein mohabbat kaash na hoti,
To safar-e-zindagi mein mithaas na hoti,
Agar milti bewafao ko saza mein maut to,
Deewano ki kabrein udaas na hoti........ .
Meri mohabbat ne unhe khushi de di,
Badle mein mujhe khamoshi de di,
Khuda se dua mangi thi marne ki,
Lekin usne bhi kambakht jeene ke liye zindagi de di.
Ugta Hua Suraj Dua De Aapko
Khilta Hua Phool Khushbu De Aapko
Hum To Kuch Dene Ke Kabil Nahi Hai
Dene Wala Hazaar Khushiyan De Aap
Meri saanso me ek aahat apki bhi hai,

Dil ki dhadkano me gungunahat aapki bhi hai.

Anjan hai aap is raz se ki,

Hamari hansi me ek muskurahat aapki bhi hai.
mein ne mangi thi ujaley ki fakat aik kiran,
tum se yeh kis ne kaha aag laga di jaye...
Din kuch aisay guzaarta hai koi
Jaisay ehsaan utaarta hai koi
Dil mai kuch yun sambhaalta hun gham
Jaisay zevar sambhaalta hai koi
Aaina daikh kar tassali hui
Hum ko is ghar mai jaanta hai koi
Pakk gaya hai shajar pay phal shayad
Phir say pathar uchaalta hai koi
Der say goonjtay hain sanaatey
Jaisay hum ko pukaarta hai koi