nigahe SMS Messages17 messages

nigahen Us Pe Parti Hain
Jis Se Kuch Ta’aluk Ho “Faraz”

Har Shakhs Mohabat Ki Nigah
Se Dekha Nahi Jata….!
Raat sunti rahi mein sunata raha
Dard ki dastan mein batata raha
Log logon say chahat nibhatay rahay
Ek wo tha mera dil jalata raha
Dhoop chaoon si uski tabiyat rahi
Wo nigahein milata churata raha
Ik mein he piyasa raha ay dost
Log peetay rahay wo pilata raha
Dil k mehman khanay mein ronaq rahi

kabhi galti se humari gali se gujro
hum to ab bi nigahe juka kar kade hain

andekha kar har bar dil tod jate ho
kissi tarah is baat ko bulakar kade hain
Sook Ko Dadde Haya Milte Nahi ,

Yahan nigahen Asane Se Milte Nahi,

Ye Bhi Hasrat Ka Kya Sitam Hey,

Ishq Se Husn Ko Dadde Jafa Milte Nahi
Ye Pyari nigahein Yaad Rahengi
Milkar Na Milne Ki Ada Yaad Rahegi
Mumkin Nahi Ki Main Tumhe Bhula Dun
Aur Umar Bhar Tumhe Bhi Meri Yaad Rahegi
Yun to kitne aye guzar gaye es jindagi me

par na jane kyun en kaano ko sirf unka hi alfaaz chahiye.

Nihaarte to humme besumar nigahein hai,

Par humme to unki ankho ki wo shararti andaaz chahiye.

Humme sirf unki ek choti si mulakat chaihye
kai baar sochte hai aapse kuch jajbaat kahe
aapse baya kare is dil ki tanhaiya
kabhi apni takdeed ki dushwariyo ke haalat kahe

par jab kabhi saamna hua nigaho se teri
hosh tak na raha apne wajood ka
gamo ki kya aukaat kahe...
bas tera hi najaara karti rahi ye nigahe,
aur khamosh se sab khyaalat rahe
Chehra mera tha,nigahen uski
Khamosi mein bhi wo baten uski
Mere chehre pe ghazal likhti rahi
Sher kehti hui ankhen uski
Aise mausam bhi guzare hamne
Subah jab apni thi shamen uski
Neend is soch mein tuti aksar
Kis tarah katati hai raten uski
Dur rehkar bhi sada rehti hai
Mujhko thame hue bahen usk
Manzil-e-gham ki fazaon say lipat kar roo loon
Teray daman ki hawaon say lipat kar roo loon
Jam-e-maaey peenay say pehlay mera jee chahta hai
Bikhari zulfon ki ghataon say lipat kar roo loon
Zard ghunchon ki nigahon mein nigahein daloon
Surkh phoolon ki qabaon say lipat kar roo loon
Aanay walay teray rastay mein bichaon aankhein
Janay walay teray paaon say lipat kar roo loon
Apnay majboor taqadus k sahary sagar
Deer-o-kabah k khudaon say lipat kar roo loon
Mere Zakhmo Ko Aapka Dukhana Acha Laga,
Meri Halat Pe Aapka Muskurana Acha Laga,
Me To Talib Tha Aap k Pyar Ka,
Aapka Nafrat Se nigahen Churana Acha Laga,
Laga K Aag Mere Aashyane Ko,
Phir Aapka Khushian Manana Acha Laga,
Dil Me Thi Hasrat Aap K Deedar Ki,
Saamne Aakar Chehra Chupana Acha Laga,
Dil K Mere Darwaze Pe Di Dastak,
Phir Khud Hi Aapka Pathar Barsana Acha Laga,
Bana Kar Mujhko Apna Dewana Phir,
Aap Ka Khud Hi Thokar Lagana Acha Laga . .
Aadmi esa dekha nahi hai,
Jiske chehre pe chehra nahi hai.

Kuchh kami mere chehre me hogi,
Aina koi jhoota nahi hai.

Kesi pathra gaee hain nigahen,
Tumko jis din se dekha nahin hai.

Kitne be khof hain ye parinde,
Inko mazhab ka khatra nahi hai.

Mil ke bichhde ho jis din se mujhse,
Mere ghar main ujala nahi hai.

Mot ka to bharosa hai lekin,
Zindgi ka bharosa nahi hai.

yun na khelo mere dil se `kausar''
Mera dil to khilona nahi hai.
Faryaad Ker Rahi Hy
Tarasti Hui nigahei''n
"Faraz"

Dekhe Huey Kisi Ko
Bohat Din Guzar
Gaye ... !!!