december SMS Messages57 messages

Kia JanUarY
Kia FebrUarY
Hum Kia KahaiN NoVember Ko
december Ko
-
-
Jab TuM Sath Hi NaHi HamarY
Aag Lage Is Calendar Ko
-
31 december ko
is Sal Karachi
Mien Loadshiding
Ka Akhri Din
Hoga!!!

Bohat Bohat
Mubarak Ho!

Congratulation!

...
...
...
...
...
...
...
...
Baqi Loadsheding
Agley Saal
1st January 2012
Se start Hogi!!!
DOSTI wo hy jo

“JANUARY” ki dhoop ho,

“FEBRUARY” ki barish ho,

“MARCH” ki shaam ho,

“APRIL” ki hawa ho,

“MAY” ki subah ho,

“JUNE” ki chawo’on ho,

“JULY” ki khushboo ho,

“AUGUST” ki taaron bhri raat ho,
“SEPTEMBER” ki chandni ho,

“OCTOBER” ki rim-jhim ho,

“NOVEMBER” ki bahaar ho,

december” ki sard raat ho,

Us sardi mai mery sard Hath hon or aap ky leay Dua ek khass ho k,
” SADA
KHUSH
RAHO “ameen”
Beet Gaye Sare Mahine Saal Ke,
Ab Phir Laut Aya Hain december,

Mere Gamo ka mausam Jata Nahi,
Ya Allah Kuch Mujh Par Karam Kar,

Jab bhi uski yaad ati hain Mujhko,
Nahi So Pata Hun Ek Karwat Par,

Ab tu Sardi bhi nahi lagti december main,
Nahi Rakhta main ek bhi Kapda Badan Par,

Allah tu Lauta de phir se wo mahine aur sardiyan,
Ya phir ye Sara Mamla hi Khatam Kar,
december

*Sunehri Shamein,
Thatharti Ratein,
Mehekti Coffee,
Woh Bheeni Khushboo,

Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulaghta,
Mein Aur,
Teri Yaadon Ki Khushboo,

Haan Yehi december Hai.
Main Lauton ga december main


december Jab bhi ata hai
wo pagli...
phir se beety mosumo'n ki
talkhion ko
yad karti ha
purana card perhti hai
k jis main os ne
likha tha
Main Lauton ga december main


Nai Kapry bnati hai
wo sara ghar sjati hai
december k her ik din ko
wo gin gin ker bit'tati hai
junhi 15 guzarti hai
wo kuch kuch toot jati hai
magar phir bi
purani albumo'n ko khol ker
mazi bulati hai !!!
nahi maloom ye osko
k beety waqt ki khushian
Bohat takleef deti hain
mehaz dil ko jalati hain...
yunhi din beet jaty hain
december laut jata hai
magar wo Khush feham larki...
dobara se calendar main
december k maheeny k safhy ko
mord ker, phir se
Phir se
december ke sahar main
Doob jati hai
k akhir os ne likha tha....

Main Lauton ga december main
Lot aaye...


Usey kehna december aa gaya hai..
december k guzartay hi..
Baras ek aur mazi ki ghupa mein doob jaaye ga..
Usey kehna december laut aaye ga..
Magar jo khoon so jaayega jismon mein na jaaye ga..
Usey kehna hawayen sard hain..
Aur zindagi k kohray deewaroN main larzaan hain..
Usey kehna shagoofay tehniyon mein so rahay hain..
Aur un par barf ki chadar bichi hai..
Usey kehna agar sooraj na niklay ga..
To kaisay barf pighlay gi...
Usey kehna..
KI...
Lot Aaye...!
Manoos ajnabi

Manoos Ajnabi
Ab k december may
Main nay bhi kuch khawab sjaye hain
apni sard aankho'n may
per darr lagta hai
kahi yeh meray khawab
pghel na jaye
Dhoop pernay per....!!
her saal jaunary,
humain kuch sapnay dikhati hai,
jis ko poora kernay main,
december aa pohanchta hai,
zindagi aur akheer bi mano,
umer kay january aur december hain,
zindagi ki january bi jo khwab dikhati hai,
admi umer ber un ko poora kerta rehta hai,
aur umer ka december aan pohanchta hai,
aur saal ki terha,
saans bi khutum ho jati hai...
december

*Sunehri Shamein,
Thatharti Ratein,
Mehekti Coffee,
Woh Bheeni Khushboo,

Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulaghta,
Mein Aur,
Teri Yaadon Ki Khushboo,

Haan Yehi december Hai.
Suna Hai Neya Saal Phir Aa Raha Hai

Khushiyan Bhi Hoon Gee ” Baharain Bhi Hoon Gee
Magar Hum To Guzry december Ki Sochoon Mein Gum Hain
Keh” Jab Tu Mere Paas Thi

Hath Tera Mere Hath Mein tha
Aor Khushiyan Chaar Su Hamary Sath Thin

Magar Ab Akele Tumhain Sochty Hain
Yahi Khof Daman Se Lipta Hua Hai
Keh”

Aisa Na Ho Es Baras Bhi december
Tumhary Bina He Kahin Beet Jay
december To Har Saal Aata Rahy Ga
Magar Tum Na Ho Gy To Kuch Bhi Na Ho Ga !

Suna Hai Neya Saal Phir Aa Raha Hai !
Will you love me in december as you do in May,
Will you love me in the good old fashioned way?
When my hair has all turned gray,
Will you kiss me then and say,
That you love me in december as you do in May?"