Urdu Poetry

Urdu Poetry
Ye mohabbat k haadsay aksar dilon ko toar dete hain,

tum manzil ki baat karte ho log rahon pe chor dete hain.
  

Nov, 23 2013     112 chars (1 sms)     2999 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wah ishaq teri bhi ajeeb dastan hai.

mahboob mil jaye tu khuda choot jaye.....

mahboob choot jaye tu khuda mil jaye......
poochne aa gaye wo bhi mera haal k khamosh kayon hon...

jo shakhas meri hansi ko aik jhoot samjhta tha...
Wo jo Shaier tha, Chup sa rehta tha
Behki behki si baaten karta tha
Aankhen kanon pe rakh ke suntan tha
Goongi khamosheyon ki aawazen…..!
Jama karta tha Chand ke saye
Or Geeli se noor ki boonden
Rookhay Rookhay se Raat ke Patay
Ook mein bhar ke kherh kherata tha
Waqat ke us ghaneray Jangal mein,
Kachay pakey se Lamhay Chunta tha
Haan, Wahi, Ajeeb sa Shaier
Chand ki Thori Choma karta tha
Chand se gir ke mar geya ha wo
Log kehtay hain Khud Kushi ki ha….!
Aik aik kar k,dubtay ja rahe hain sitaray,aur chand bhi kahin chup gya hai,main tumhara intizar kerte kerte thak gya hon,chali ao,chali ao k ab zindagi tumharey bin guzarti hi nhi,chali ao k ab mere seene main chupa,karb angari lay raha hai.!
Bherkaain Meri Pyaas Ko Aksar Teri Aankhain
Sehraa Meraa Chehraa Hay Samundar Teri Aankhain
Phir Kon Bhalaa Daad-E-Tabassum Inhain De Gaa
Royengi Bohat Mujhse Bicher Ker Teri Aankhain
Jisko maine de di apni ye zindagi,
Woh shakhs hi mera qaatil nikla

Wafaparasti main na koi kami ki,
In wafaon se na kuch haasil nikla

Ishq, mohabbat, qasme waade,
In lafzon ka asar uspe baatil nikla

Hum to toofan se darte rahe lekin,
Jisne duboya mujhe, wo saahil nikla !!
Kya Kahe ki Kuch Kaha Nahi jaata,
Dard-Meetha hai par Saha Nahi jaata,
Dosti Ho gayi hai is Kadar aapse ki,
Bina yaad kiye Raha Nahi jata?
kitna khauf hota hai shaam k andheron mein...

pooch un parindo se jin k ghar nahi hote...
Apne liye maang loon Khuda se
Hisse main jo hain azaab uske

Waise to woh shokh hai bala ka
Andar hain bohot hijaab uske
tum sab jo meri baat suno
ik kissa tumhein sunaata hoon
ye kissa nahi zamanay ka
ye kissa hai parwaanay ka
jo pal pal jeeta marta tha
jo pyar bohot hi karta tha
har baat usay maloom to thi
ek baat magar wo bhula betha
shamma ko haasil karnay mein
khud apna aap ganwa betha
youn ishq ki had se guzarnay mein
parwanay k jal marnay mein
ab jaagti hai na soti hai
shamma ab har pal roti hai
abr-e-bahaar ne
phuul kaa cheharaa
apane banafshii haath me.n lekar
aise chuumaa
phuul ke saare dukh
Khushbuu ban kar bah nikale hai.n
Dil Ki Awaaz Ko Izhaar Kehtay Hein
Jhuki Nigah Ko Iqrar Kehtay Hein

Sirf Paanay Ka Naam Mohabbat Nahin
Kuch Khone Ko Bhi Pyaar Kehtay Hein