YE JO ZINDAGI KI KITAAB HAY

YE JO ZINDAGI KI KITAAB HAY
YE JO ZINDAGI KI KITAAB HAY
YE KITAAB BI KIA KITAAB HAY
KAHIN IK HASEEN KHWAAB HAY
KAHIN JAAN LEWA AZAAB HAY

KAHIN AANSWOON KI HAY DASTAAN
KAHIN MUSKURAHTOON KA BAYAN
KAIEE CHEHRAY IS MAIN CHUPYAY HOWAY
IK AJEEB SA NAKAAB HAY

KAHIN KHOO DIYA KAHIN PAA LIYA
KAHIN ROO LIYA KAHIN GAA LIYA
KAHIN CHEEN LETI HAY HAR KHUSHI
KAHIN MEHRABAAN BEHESAAB HAY

KAHIN CHAOON HAY KAHIN DOOP HAY
KAHIN AUR HI KOI ROOP HAY
KAHIN BARKATOON KI HAIN BARISHAY
KAHIN TESHNAGII BEHESAAB HAY
  

Jun, 04 2010     489 chars (4 sms)     4120 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Dukh fasana nahi k tujh se kahen,
aur dil b mana nahi k tujh se kahen,

ab FARAZ apna bhi us gali mein,
aana jana nahi k tujh se kahen.
Yaad Kerne Ko Hyn Dil Main
Hazaro''n Baatai''n

Par Meri Yaad Tou Uljhi Hy
Teri Zaat K Gird

Jab Tak Meri Duao''n k
Tum Hisar Main Ho

Ek Bhi Dukh Nahi Aayega
Teri Zaat K Gird ...
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yeh saal bhi udaas raha roothh ker gaya
Tum sey miley baghair december guzar gaya


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ik Yehi Pehchan Kafi Hai Meri Pahchan K Liya..
Jo Rasta Aam Hojay Us Se Bacch Kar Chala Kartay Haiiin.
kash aisa koi tum b moujzah kardo.

meri har hasrat har arzoo ko fana kardo.

ya to wafaon ka dars tum b seekh lo.

ya to apni tarah mujhe b bewafa kar do...
teri yaad ki baraf baari ka mosam
sulagtaa raha dil k under akaylay
irada tha ji lungi tujhse bichar kar
guzarta nahi ik DECEMBER akaylay!!
Qaid e Hyat o Bnd e Gham
Asa£ me 2no 1 hen

Mout se peh£ay admi Gham se nijaat pa''ay Q ?
~*~ woh...mujhe mila hota ~*~
aasmaaN ke malik say
do jahaN ke raziq say
aur kuch nahin chaha
sirf itna manga hai
pur-khuloos chahat ka
bay reya muhabbat ka
bay panaah rayazat ka
itna to sila hota
woh...mujhe mila hota
Yeh zakham mere paas tere pyar ki nishani hai,

bhool kar bhi in par na marham lagana tum.

jab kabhi tum tanha ho aur meri yaad satati ho,

bewafa hoon main yahi apne dil ko samjhana tum.
december ki baarish me
bheegte pairon se poocho
akelapan kya he
tanhai kise kehta he....

raat ke aagosh me
chipe chand se poocho
chandni bina kaisa he
adhurapan kaisa he


dil ka dard liye
do bicharne walo se
judai ka ehsaas poocho
kaise kategi zindagi abb poocho
kabhi dard to kabhi dua di hai,
dil ka chain aur aankhon ki neend uda di hai;
ye teri yaade hai ya mere dard ki inteha,
palkon ki katro pe nami saja di hai.
Ajnabi si rahoon ka,
Ajnabi musafir aik,
Mujh se pooch betha hai
rasta bata do gay?
Ajnabi si rahoon ke ajnabi musafir sun
Rasta koi b ho,
Wasta koi b ho
Manzilain nahi miltein
Manzilain to dhoka hain,
Manzilain ager mill jaien,
To
Justajoo nahi rehti
Zindagi ko jenay ki arzooo nahi rehti.