Khud rooth’tay ho zra

Khud rooth’tay ho zra
Khud rooth’tay ho zra c baat per magar
Koyi roothay to usay manaaya bhi karo
Aur ki ghalati per hai teri nigah-e-tanqeed
Apnay kisi aitraaf per nigah jhukaaya bhi karo!!!
  

Jun, 04 2010     174 chars (2 sms)     2223 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Abhi hai yaad mujhe gham say ashna hona,
tera milna or yun mil ker tera juda hona.

Zenat-e-haar banay gul ki shikayat tu suno,
isko bhata nhi hai shakh say juda hona.

yahi nhi k zamana jalaye is dil ko,
is pe bijli bhi giraye tera khafa hona.

mujeh yaqeen hai tujhko wali bana dega,
tere in Ansouon ka mustakil dua hona.

ye jo tezi say yahan uth rahi hai sachayee,
is jahan ka bara kareeb hai fana hona.

itna milna bhi karachi main thaka deta hai,
tanha rehna hai yahan per taro taza hona.
Nadiyon Se Kinare Chhut Jaate Hai,
Aasman Se Tare Toot Jaate Hai,
Zindagi Ki Raah Me Aksar Aisa Hota Hai
Jinhe Hum Dilse Chahte Hai Wahi Humse Rooth Jaate Hai..
Teri Yaad MainBohat Peghaam Likhte Hyn

Teri Yaad Main Guzri o Shaam Likhte Hyn

Wo Qalam Bhi Tera Deewana Ho Jata Hy

Jis Se Hum tera Naam Likhte Hyn
Uska Her Zakham Bina Mein Takleef Seh Gaya

Chour K Wo Gaya Aur Mein Akela Reh Gaya

Mohabbat K Asool Bana Gaya Kuch Aisy

K Bewafai Usne Ki Aur Mujhko Bewafa Keh Gaya
Suno Pagal..!!
Kahray rehnay say kya hasil..?
Huwa tow buss yehi ho ga..
Hawain dil dukhain gi..
Nigahain bheeg jain gi..
Chalo under chalay jaoo..
Suna hai jo marzi say chala jay..
Woh phir wapis nahin ata..!!
tum dukhon ke soz ka
mosamon ke rog ka
dard mat saha karo
udas mat huwa karo
yeh dard hain hayat ke
kuch rung kainat ke
kuch dukh ki tez barishen
kuch phool hein nishat ke
tum phool bus chuna karo
khaar mat chua karo
UDAS MAT HUWA KARO
wo tujhko bhooly hen to tujh pe b laazm hy ae meer,

khaak daal,aag lga,naam na ly,yaad na kar...
Tanhaayi mein na kabhi jiya hai maine,
Jab tanhaayi hote hai hum mein , tere saaye se jiya hai maine
wo or ko chahta raha or mujy apni muhbat ka yaqeen dilata raha.

hum nadan thy wo taslyan or dalsy k sath dhoky b dta raha.
Dahr Dahr Bhatak then hain Armaaan Ki tarah
Har koi miltha hai AAnjan ki Tarah.
is Duniya se Khushi ki Aaas kya karen.
yehan to Gham Be dete hain EK Ehassan ki tarah
Yeh Adhoora PaN
Jaisay Adhi kaali raat,
Jaisay Aadha chand,
Jaisay bin sooraj kiran,
Jaisay bin badal barsaat,
Jaisay jungal mein tanha hiran,
Jaisay be Aawaz koiyal,
Jaisay Sookhi Kali,
Jaisay Thehra hoa paani,
Jaisay bin paani machhali,
Jaisay Andha Raahi,
Jaisay bikhari zulfein,
Jaisay dolhay bin baraat,

Aisay hi tum bin main,


Aur mera yeh Adhora PaN
Mein Hon Bewafa Mujhe Wafa Ka Pata Nahi
Meri Zindagi hai Bewajha Mujhe Zindagi Ka Pata Nhai
Meri Jaan Hi Koi Aur Hai MUjhe Apni Jaan Ka Pata Nahi
MujhSe Rahe Door Her Shaks Mujhe Bandagi Ka Pata Nahi
Meri Saans Kisi K Dam Se Hai Mujhe Iss Shaks Tak Ki Khabar Nahi
Meri Zindagi hai Bewajha Mujhe Zindagi Ka Pata Nhai