Ye Ishq nahin aasan...

Ye Ishq nahin aasan...
Ye Ishq nahin aasan...

Masoom Mohabbat ka bas itna sa fasana hain

kagaz ki haveli hain baarish ka zamana hain


Kya shart e mohabbat hain kya shart e zamana hain

Awaaz bhi zakhmi hain aur geet bhi gana hain


Uss paar utarne ki umeed bhi kam hain

Kashti bhi purani hain aur tufaan ko bhi aana hain


Samjhe ya na samjhe woh andaaz mohabbat ke

Ek shakhs ko aankhon se ek sher sunana hain


Bholi si ada fir koi aaj ishq ki zid par hain

Phir aag ka dariya hain aur dhoob kar jaana hain.......;->
  

Jun, 04 2010     527 chars (4 sms)     4209 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Maut mangte he to zindagi khfa hojati he
Zehr late he to wo b dwa ho jati he.
Tu hi bta ay mere dost kya karun.
jisko b chahte he to wo bewafa ho jate he
Din udas Hain Teray Bin hijar shamain dasne lagi Hain,


Lout aao tum meray haal pe meri Tanhayian hansane lagi Hain.
kis kadr masoom sa lehja tha tha uska.

dheere se jaan keh kr bejaan kr gaya.
kon hota hy tery ghum main pareshan mohsin

wo to apni he kisi baat py roya ho ga.
Jis dor say guzar raha hon main
Too bhi meri yadon main tarpati to ho gi

So nahi paya main tujh say bicharnay k baad
Too bhi raaton ko aksar jaagti to hogi

Jo poocha kisi nay teri udaasi ka maqsad
Too hazaron bahanay banati to ho gi

Jis tarah rothi hain mujh say khushian meri
Too bhi tanhai main aksar roti to ho gi

Milay thay jub hum barson baad
Too un dino ko yaad karti to ho gi

Ya Rub mila hum ko iss dunia main or us dunia main
Meri tarha too bhi duwayain mangti to ho gi

Yon humain beqarar dekh kar SAHIL
Khuda ki qudrat josh main ati to ho gi
Aansoun ki likhawat ko tum parh na sako ge

Geeley kagaz pe tum kuch likh na sako ge

Yaad aayen gi tum ko hamari baten

Kho kar jab tum hamen pa na sako ge...
KHAWAB

ZINDAGI

MERI

Mana k teri yaad se ghafil zaroor hoon

Lakin teri zaat ka Munkar nahi hoon main.
Teray Khaloos Nay Barbaad Kar Diya Hai Faraz

Faraib Detay Tu Kab K Sambhal Gaye Hotay
Toot Ker Chaha Jise WO Lot Ker Aaya Nahi
Mere Dil Ko Uss Ke Siwa Aur Koi Bhaya Nahi
Pyar Ki Soda-Gari Mein Hum BAraber Hee Rahe
Usne Kuch Khoya Nahi Aur Hum Ne Kuch Paya Nahi
Kisi ka ishq kisi ka khyal thay hum bhi,
Gaye dinon main bohat ba kamal thay hum bhi,
Hamari khoj main rehti thein titlyan aksar,
K apnay shehr ka husn-o-jamal thay hum bhi,
Zameen ki goad main sir rekh k so gaey aakhir,
Tumharay hijr main kitnay nidhal thay hum bhi,
Zaroration ne hamara zamer chaat liya,
Wagarna qaa’el-e-rizq-a-halal thay hum bhi,
Hum ask ask bikhartay rahay isi dhun main,
K zindagi main kabhi laazwal thay hum bhi!
dukh dard ke barsat nay pagal bana dia,
tanha smaj k rat nay pagal bna dia,
shikwa nahe kisi say kisi say gila nahe,
mujko mayray he halat nay pagal bana dia,
yay b nahe k un say milainy bar bar hum,
bus ek mulakat nay pagal bana dia,
kehta hai wo her bat pay,
pagal tu nahe ap,
mujko tu isi bat nay pagal bana dia.
Use maloom hai meri awargi ki sabub kon hai.

phir bhi poochta hai tum se bewafai kis ne ki