Jo aansoo na hote

Jo aansoo na hote
Jo aansoo na hote ankhon mei,
to aankhen itni khubsurat na hotin.
Jo dard na hota dil mei, to khushi ki koi keemat na hoti.
Jo bewafai na ki hoti waqt ne,
to wafa ki kabhi chahat na hoti.
Agar sochne se puri ho jatin muraaden to, dua ki kabhi zarorat na hoti.
  

Jun, 03 2010     265 chars (2 sms)     2552 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

sar nama mere naam ka aur khat raqeeb ka..

zalim tere sitam k hain unwan ajjab ajjab...
Hum TO Tere Dil KI Mehfil Sajane Aaye The
Teri Qasam Tujhe APna banane aaye the
Kis Bata ki saza di tu ne hum ko
bewafa ham TO tere dard ko aapnane aaye the
surma samajh kar ghair ko aankhon mein di jagah,

aansoo samajh kar aankh say mujh ko gira dia.
main tu us loote howe qafle ka wo hisa hun amir

jis main mujh se tujhe chahne ka andaz loot leya gaya.
Tumhain bhoolnay ka tasawur keron tou keisay
jub rehtay ho tum meri sansoon mein.....
laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahle
diloN ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiN pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle

hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle

ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle

huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle
Kuch na kisi se bolenge,
bas tanhai me chup chup ro lenge,
apni to musafir jaisi hai zindgi,
sath kisi ke bhi ho lenge,
ye zindgi ek zahar bhara pyala hai,
kab tak hum isme amrit gholenge,
ab nind to aankho me aati nahi,
chalo jab maut aayegi to ji bhar ke so lenge
Tumain iss baat pe hai hyrat

k tuta hai hamara dil...

muqabil jab ho pather tou

sheeshy toot he jaty hain
Sachai.!

WO muje bohat chahti hai

Mager

Dukh bhi to us say bay shumaar miltay hain.!:(
titli hai badal hai sawan hai KESAR
chanda hai tulsi hai bawan hai KESAR
jaaney issey jaana hai kahan
kitna bada hai yeh jahan
use kaho ub nahi aya jaye ga teri shahr ki tarf..

qadmon k nishan na milne per rota raha hon main...
Mein Udas Rasta Hon Sham ka
Mujeh Aahton ki Talash hai
Ye Sitary Hain sab Bujhy Bujhy
Mujhe jugnuon ki Talash Hai
Her Khushi hai mujhse Khafa Khafa
Mujhe Zindgi ki talash hai
Meri Piyas mein wo talab nahi
Mujhe Tishgini ki talash hai
Ik hajoom sa hai rawan duwan
Mujhe kisi ki talash hai