Kanton Se Guzer Jana

Kanton Se Guzer Jana
Kanton Se Guzer Jana Sholon SE Nikal Jana
Phulon Ki basti Mein Jana To sambhal Jana
Din Apni Chiraagon Ki Maanind Guzarte Hain
Har Shab Ko Bujh Jana Her Shaam Ko Jal jana
Bachon Hi si Fitrat Hai Ham Ahl-E-Mohabbat Ki
Zid Kerna Machal jana Phir Khud Hee Sambhal jana
Woh Shaks Bhala Mera Kia Saath Nibhaye Ga
Mosem Ki Tarah Jis ne Seekha Hai Badal Jana
  

Jun, 02 2010     359 chars (3 sms)     2076 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mujhay Hee Kyun Us Kii Prastish Say Roktay Hoo



Us Ko Bhii Too Kahoo Kay Woo Dewtaa Na Lagay
Milay Na Tujhay Dukh Zindagi Mein,
Phool Ki Tarha Mehkay To Zindagi Mein,
Khush Rahay Too Sada, Dua Hay Meri,
Koi Gham Na Bahtkay Teri Zindagi Me
shikwah na kissi se milney ka kya karain hum
do harf lafz dill main hain woh be judha judha
WO Baat Baat Pe Deta Tha Mujhe Parindon Ki Misaal
Saaf Saaf Nahi Kehta Ke Mera Shehar Chor De
Ab Khwabo Main Rishte Banata Hun,

Tere Daman Ko Or Kareeb Pata Hun,

Raahein Ulfat Muskil Hai Magar,

Teri Yadon Se Apni Saanse Chalata Hun!
TEri wafa wafa jane meri MOHabbat kuch b nahi ? TEra DArd dard thehra Mera zaKHAM kuch b nahi ?
Mere Qareeb Raha Phr Bhi Mujh Ko Parh Na Ska
Mera Wajud Tou Mehfuz Ik Kitab Main Tha
Khula Jo Nama-E-Amal Hasher Me Mara
Bus Ek Jurm-E-Muhabbat Mere Hisab Main Tha!
Jab bhi chaho mere khawabon main chali aana,ho k shamil meri sanson main,meri rooh main utar

jana,tume ijazat hai jab bhi chaho,chandni ban k mere kamray ki khuli khirki say qadam

barhati hoi ahista ahista dabay qadmon say chali ana,main us roz dua krunga,wo shab jo

tumhare sath basar ho,kisi bhi tore agli sadi say kam na ho.
Apna Bhi Dard Mujhko Mere Razdar De,

Kuch Apni Zindagi Pe Mujhe Ikhtiyar De,

Aisa Na Ho Ki Kal Tu Mera Saath Chhod De,

Jitna Nibha Sake Mujhe Utna Hi Pyaar De.
Mery Lehjay Pa Mat Chonko,Meri Aankhon Mein Mat Jhanko

Yun Hairat Se Na Dekho tm, Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Lagzisho’n Se Mara Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Dono Insaan Hain Khuda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Tu Mujhe Aur Main Tujhe Ilzaam Dete Hain Magar
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi Main BHi Nahi

Maslihat Ne Ker Dia Dono Main Paida Ikhtilaaf
Werna Fitrat Ka Bur Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Mukhtalif Simto’n Main Dono Ka Safar Jari Raha
Ek Lamhe Ko Ruka Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Chahate Dono Bohat Hain Ek Doosre Ko Magar
Ye Haqeeqat Maanta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Socha tujhko phool kahu mai

Laikin phool bikher jata hai,

Socha tujhko khowab kahun mai

Lekin khowab to mar jata hai,

Socha tujhko shaam kahun mai

Lekin shaam to dhal jati hai,

Or tu dhalti shaam nahi hai,

Tera koyi naam nahi hai