Yeh Soch K Nikal Parha

Yeh Soch K Nikal Parha
Yeh Soch K Nikal Parha Hai Sard Raaton Mein Phirnay "FARAZ"

kaahin Chaand Ko Ehsaas-e-Tanhaai Naa Ho
  

Jun, 02 2010     104 chars (1 sms)     2373 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Hm Ghum Ki Raat Khayalon Me Kat Dete Hen,

Mile Jo Din Ujalon Me Bant Dete Hen,

Hm DARD-E-DIL

Ko Bohat Aziz Rkhte Hen

Mile Jo Khushi Zamane Me Bant Dete Hen.
Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain

Bas Yaadain Bohat Stati Hain

Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe

Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain
Maine kaha ke mehfil gair se khaali chahiye...!!!

uss ne kia ishara aur mujh ko he utha diya...!!!
lamhe yeh suhane sath ho na ho.
kal me ajj jesi koi baat ho na ho.
apka piyar hamesha is dil me rehey ga
chahe pure umar mulakat ho na ho
aisay he nahi roz falak daikhta tujh ko
chehra hai tera chand, sitaray teri ankhain

bas gayi hai ye mere ahsaas main kaisi mahak
koi khushboo main lagaoon teri khushboo aaye
tumhare bus main ager ho, to bhool jao hamain
tumhain bhulane main shayad,hamain zamana lage
wo jin ko teri qurbat main bhool bahte thy.
wo log teri judai k baad yaad aye.
hum itne bhi gaye guzre bhi nahi thy jaan faraz.
keh tujh ko sari khudai k baad yaad aye.
***ADA E ISHQ***
Har lamhay ko is tarhaa main taay kar jaoon gi
Har ik pal mai tujhay apnay qareeb laoon gi

Mehsoos bhi na ker paiy ga tu mujhay humdum
Main teri sanss mai iss tarhaa bass jaoon gi

Guzarty hovey lamhoon ko ik yaad banatay huwey
Main teray her pal ko is tarhaa mehakaoon gi

Gar bhool na chahay bhi tu mujhay aaiy humnasheen
Jatay huwey teray chehray pay apna akass chor jaoon gi

Zindagi mein aisa lamha bhi hoga socha na tha
Paa ker uss ko main haadh se hi guzar jaoon gi.
Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

Tariqeeyon Ka Fasana Suna Diya Mujhko,
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khara Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na Jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko...
Mohobbat Ka Imtihan Aasan Nahi
Pyar Sirf Pane Ka Naam Nahi

Muddatein Beet Jati Hain Kisi K Intezar Mein
Ye Sirf Pal Do Pal Ka Kaam Nahi
Na jaane Q khuwaab bikhar jaaty hein dheere dheere,

Saare log bichar jaaty hain dheere dheere,

Zabt karo to behtar hai,

Warna aansoo zor pakr jaaty hain dheere dheere,

Sab irada kar k sath chalte hain,

Phir raasty badal jaty hain dheere dheere,

Jitne paas hum kisi k hoty hain,

Utne faasly barh jaaty hain dheere dheere.