bad-naseebi ka mein qaa''il

bad-naseebi ka mein qaa''il
bad-naseebi ka mein qaa''il toh nahin hun, lekin



mein ne barsaat me jalte hue ghar dekhe hain.......
  

May, 29 2010     108 chars (1 sms)     2327 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Chup Rehte To Dum Ghut-ta Aur Dard Zada Hota
Kuch Moo Se Nikal Jata Tou Koi Khafa Ho Jata
WO Jab Bhi Zaara Rotha Chup Behte Rahe Hum Bhi
Aik Baar Mana Lete Tou Roz Khafa Hota
Tumhain bakhsi hay dil ki hukmarani, aur kya detay?
yehi thi bus hamari rajdhani, aur kya detay?

saja ker sir hatheli per gaye thay koo-e-jana me
hum apnay ishq main unko nishani aur kya detay?

woh hamsay mangta tha umar ka ik dil-nasheen hissa
na detay usko hum apni jawani, aur kya detay?

Sitaaron se kisi ki maang bherna ik fasana hay
tumharay naam likh di zindagani, aur kya detay?

Bichartay waqt usko ik na ik tuhfa to dena tha
Hamaray paas tha aankhon me paani, aur kya detay
Bana Gulab Tu Kaantay Chubha Gaya Aik Shakhs
Howa Charagh Tu Gher Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamaam Rang Meray Aur Saaray Khwab Meray
Fasana Thay Ya Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Main Kis Hawa Main Uron Kis Faza Main Lehra’on
Dukhon K Jaal Her So Bicha Gaya Aik Shakhs

Palat Sekon Na Hi Aagay Berh Sekon Jis Per
Mujhay Yeh Konsay Raastay Per Laga Gaya Aik Shakhs

Muhabbatain Bhi Ajab Uski Nafratain Bhi Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Main Sama Gaya Aik Shakhs

Muhabbatoon Ne Kisi Ki Bhula Rakha Tha Usay
Milay Woh Zakhm K Phir Yaad Aa Gaya Aik Shakhs

Woh Maahtaab Tha Marham Badast Aaya Tha
Mager Kuch Aur Siwa Dil Dukha Gaya Aik Shakhs

Khula Yeh Raaz K Aayeena Khana Hai Dunya
Aur Is Main Mujh Ko Tamashaa Bana Gaya Aik Shakhs
Bhula Dena Use Jo rula Jaye,

Yaad Rakhna use Jo nibha Jaye.

Vaade Aapse karenge bahut Log,

Magar Apne Dil ki baat kehna use,

Jiske Bina ek pal na Jiya Jaye.
hUm AaKsAr YeH sAmAjHtAy HaIn
jIsAy hUm PiYaAr KaRtAy HaIn
UsAy HuM bHoOl BaItHaY hAiN
mAgAr aIsA nAhIn HoTa
MoHaBbAt DaImI sUcH hAi
mOhAbBaT tHaIr JaAtI hAi!!!
HaMaRi BaAt KaY aNdAr
mOhAbBaT bAiTh JaAtI hAi
hAmArI zAaT kAy AnDaR mAgAr
YeH kAm NAHiN hOtI
kIsI bHi DuKh Ki SoOrAt MeIn
kAbHi KoI ZaRoOrAt MeIn
KaBhi aNjAaN sE gHaM mEiN
kAbHi LeHjAy Ki ThAnDaK mEiN
uDaAsI kI zArOoRaT mEiN
kAbHi BaArIsH kI sOoRaT mEiN
hAmArI aAnKh KaY aNdAr
kAbHi AaB-E-RaWaN bAn KaR
kAbHi QaTrAy Ki SoOrAt MeIn
bAzAhIr AiSa LaGtA hAi UsAy
HuM bHoOl BaItHaY hAiN mAgAr
AiSa NaHiN hOtA mAgAr AiSa NaHiN HoTa....
YeH hArGiZ kAm NaHiN hOtI...
MOHABBAT THAIR JAATI HAI.......!!!
Pyaar me ashk bahate kyu hain,

Do dil Ek dusre ko tadpate kyun hain,

Kehte hain pyaar zindagi hai,

Toh phir pyaar ko khel banate kyun hain..
Ab To Mumkin Hi Nahi Un Se Mulaqat
Ab To Aruj Pe Ponchi Hai Us Ki Zaat

Wohi Waade Hai Or Rasmoon Ki Zanjireen Baqi
Kab Badalti Hai Zamane Ki Riwayat
kisi ney pooch liya agar udaasiyon ka sabab....

to moasamon ka gila ker k taal dain gey hum...
ye udaas chehra ye ankhon main nami hai,,,,

mujhy aisa us ki mohabt ne kr dia....
Wohi Sochai''n , Wohi Baatai''n
Wohio Andaz , Ab Bhi Hy

Bohat Bechain Lagte Ho
Koi Tou Raaz Ab Bhi Hy

Main Kaise Us Ki Yaado''n
Aur Waado''n Se Nigah Phero''n

Wo Mujh Se Roothne Wala
Mera Humraz Ab Bhi Hy

Ye Tum Ho Is Ta''aluq Par
Pareshan Aur Nadim Ho

Magar Is Be-los Rishte Par
Mujhe Tou Naz Ab Bhi Hy ...
Wo akhri shab december ki,
Darwazy ki chokhat pay
Muntazir tumhari thi,
Nigah me uska chehra tha,
Subah say sham thera tha,
Magar sham dhaltay hi
Mere aanso nikal aaye,
Bohut Na umeed ho kar
Main darwazay say palat aai,
K itnay me awaz aayii, Ulfatoun ki raahon me,
Apni Mohabbat k,
Muntazir nahi hotay, Mohabbat khud hi aati hai, Mohabbat khud hi jati hai, Main jhapti foran chokhat par,
Magr Wo Wehm Mera tha,
Baras pichlay December me,Tu mujhsay milnay aya tha,
Na pocho mujsay gyara(11) mah
kesay maine bitaaye hain,
Hr ik lamha ye socha tha,
Decembr kab tu aayega,
Mujhe milnay Wo aayega... |''!''|
koi dukh na ho
koi gham na ho
koi ankh kabi num na ho
koi dil kisi ka toray na
koi sath kesi ka choray na
bus pyar ke nadiya bahti ho
kash k dunya asi ho!!!